Showing posts with label Jannat. Show all posts
Showing posts with label Jannat. Show all posts

Dayyoos par Jannat haraam hai


Dayyoos par Jannat haraam hai

Dayyoos par Jannat haraam hai: Dayyoos us shakhs ko kehte hain ji ke ghar mein bure kaam yaani zina aur zina se mut’alliq cheezein ho rahi hon aur woh shakhs is par khaamoosh rahe, rok tok na kare. Ghar ki aisi buraai par khaamoosh rehna itna bada gunaah hai ke Allah Ta’ala ne khaamoosh rehne waale shakhs par Jannat ko haraam kar diya hai, Yaani woh shakhs Jannat mein daakhil nahin hoga. Hazrat Abdullah bin Umar (rad) bayaan karte hain ke

Rasoolullah (saws) ne farmaaya: “3 shakhs aise hain ke Allah Ta’ala ne Jannat ko un par haraam kar diya hai; ek woh shakhs jo sharaab peeta hai, doosra woh shakhs jo maan baap ko takleef pohnchaata hai, teesra woh shakhs jo dayyoos hai, yaani jo apne ghar waalon mein badkaari hote dekhta hai, magar us par rok tok nahin karta hai.” (Musnad-e-Ahmad: 5372)

Kufr

Kufr: Kufr ke maani hai na maanna, Islam mein jin cheezon par iman laana zaroori hai, in mein se kisi ek ko bhi na maanna “Kufr” hai. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdillah Bin Abdir Rahman: 38/16)

Jaise koi shakhs Allah Ta’ala ki zaat ko na maane ya us ki sifaat mein se kisi sifat ka inkaar kare, ya farishton ka inkaar kare ya pichhle ambiya (‘Alaihisalaam) par naazil hone waali kitaabon ke baare mein yeh aqeeda rakhe ke woh Allah Ta’ala ki kitaabein nahin theen ya Qur’an Majeed ke kisi mazmoon ka inkaar kare ya kisi Nabi ko na maane ya paigambaron ko jhoota kahe aur un ki taraf buri baaton ko mansoob kare ya taqdeer ka inkaar kare ya aakhirat ke din, qayaamat aur Hashr-o-Nashr ka inkaar kare maslan yoon kahe ke marne ke baad dobaara zinda nahin kiya jaayega ya Allah Ta’ala ko aasmaan wa zameen ke fana karne ki qudrat nahin hai ya hisaab na hoga ya Jannat wa Jahannam ke zikr sirf logon ko khush karne ur daraane ke liye kiya gaya hai, warna haqeeqat kuchh nahin hai ya Qur’aan-e-Kareem ke qa’tee ahkaam mein se kisi hukm ke inkaar kare ya Rosoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki bataai hui kisi baat ko jhutlaaye, to tamaam soorton mein woh kaafir ho jaayega.

Share on: Telegram | WhatsApp

Ghussa na kiya karo

Ghussa na kiya karo

✺ Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur apne Rabb ki bakhshish ki taraf dau'do aur neez us Jannat ki taraf jis ki chaurdaayi aisi hai jaise aasmanon ka aur zameenon ka phailao jo Allah Ta'ala se darne waalon keliye tayyar ki gayi hai yani (un aala darje ke musalmanon keliye hain) jo khushhaali aur tangdasti donon haalton mein naik kaamon mein kharch karte rehte hain aur ghusse ko zabt karne waale hain aur logon ko mu'af karne waale hain aur Allah Ta'ala aise naik logon ko pasand karte hain. (Aal-'Imran 3: 133-134)

✺ Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke ek shakhs ne Nabi Kareem ? se arz kiya ke mujhe koi waseeyat farma dijiye Aap ? ne irshaad farmaaya: Ghussa na kiya karo us shakhs ne apni (wohi) darkhuwast kayi baar dohrayi Aap ? ne har martaba yahi irshaad farmaaya: Ghussa na kiya karo. (Bukhari: 6116)
 
✺ Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Taaqatwar wo nahi jo apne muqabil ko pachhaadh de balke taaqatwar wo hai jo ghusse ki haalat mein apne aap par qaabu paale. (Bukhari: 6114)

✺ Hadees: Hazrat Abu Zarr Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Jab tum mein se kisi ko ghussa aaye aur wo khada ho to usko chahiye ke baith jaye agar baithne se ghussa chala jaye (to theek hai) warna usko chahiye ke lait jaye. (Abu Dawud: 4782)

✺ Faida: Hadees shareef ka matlab ye hai ke jis haalat ki tabdeeli se zehan ko sukoon mile us haalat ko ikhtiyaar karna chahiye taake ghussa ka nuqsaan kum se kum ho. baithne ki haalat mein khade hone se kam aur laitne mein baithne se kam nuqsaan ka imkaan hai. (Mazahir-e-Haq)

✺ Hadees: Hazrat Atiyya Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Ghussa shaitan (ke asar se) hota hai. Shaitan ki paidaish aag se hui hai aur aag paani se bujhayi jaati hai lehaza jab tum mein se kisi ko ghussa aaye to usko chahiye ke wazu karle. (Abu Dawud: 4784)

✺ Hadees: Hazrat Mu'az Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Jo shakhs ghusse ko pee jaye jabke us mein ghusse ke taqaaza ko pura karne ki taaqat bhi ho (lekin iske baawajood jis par ghussa hai usko koi saza na de) Allah Ta'ala Qayaamat ke din usko saari makhluq ke saamne bulayeingey aur usko ikhtiyaar deingey ki Jannat ki huroon mein se jis ko chaahe apne liye pasand karle. (Abu Dawud: 4777)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp