Chugli karna

🛑 CHUGLI KARNA EK GUNAH-E-KABEERA

Chugal khori ka matlab:

Jab koi shakhs do logon ke darmiyaan jhooti ya sachchi baatein is niyat se kare ke unke aapsi ta'alluqaat kharaab ho jaaein.

📜 Hadees-e-Mubaraka:

Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya:
“Chugal khor Jannat mein daakhil nahin hoga.”
(Sahih Muslim)

⚠️ Qabr ka Azaab:

Ek martaba Huzoor ﷺ do qabron ke paas se guzre aur farmaaya ke in donon ko azaab ho raha hai... In mein se ek apne peshaab ke chheenton se nahin bachta tha aur doosra chugli khaaya karta tha.
(Sahih Bukhari)

Allah hum sab ko is buri aadat se mehfooz rakhe. Aameen. 🤲