Showing posts with label Jahannam. Show all posts
Showing posts with label Jahannam. Show all posts

Khudkushi Mat Karo

Khudkushi Mat Karo

✺ Qur'an mein Allah farmaata hai (Tarjama): Aur apne aap ko qatl na karo; yaqeen jaano! Allah Ta'ala tum par bahot maherbaan hai aur jo shakhs ziyaadati aur zulm ke taur par aisa karega, to ham us ko aag (Jahannam) mein daakhil karenge. (Sura-e-Nisa: 29-30)

✺ Yeh zindagi Allah Ta'ala ki amaanat hai, is mein kisi tarah ka tasarruf kar ke is ko khatm kar dena sab se badi khayaanat hai aur yeh hamaare liye jaaiz nahin hai. Har ek ki zindagi mein aaraam bhi hai aur museebat bhi, khushi bhi hai aur gam bhi, Islaam har museebat aur gam par sabr karna sikhaata hai aur is par bepanaah ajr-o-sawaab se nawaazta hai; is liye kisi museebat aur gam ki wajah se khudkushi kar lena haraam hai aur aakhirat mein is ki bahot sakht saza hai. Sahi bukhaari ki ek riwaayat hai:

✺ Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne pahaad se gir kar khudkushi ki woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein (pahaad se) girta rahega aur jis ne zahar pi kar khudkushi ki, us ka zahar us ke haath mein hoga aur woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein us ko peeta rahega aur jis ne kisi lohe ke zariye khudkushi ki, to us ke haath mein loha hoga, jise woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein apne pet mein ghonpta rahega. (Bukhaari: 5778)

✺ Aam taur par log kisi pareshaani mein mubtala ho kar khudkushi kar lete hain aur yeh sochte hain ke jab mar jaayenge aur is duniya se chale jaayenge, to is museebat aur pareshaani se najaat mil jaayegi; lekin Aap ﷺ ki hadeese paak bata rahi hai ke is duniya se jaane ke baad aise logon ko aakhirat mein is qadr bhayaanak qism ke azaab ka saamna karna padega. Jab ham is duniya ki chand roza zindagi ki pareshaani ko bardaasht nahin kar sakte, to aakhkirat ki itni sakht saza ko kaise jhel paayenge.

Share on: 

Kufr

Kufr: Kufr ke maani hai na maanna, Islam mein jin cheezon par iman laana zaroori hai, in mein se kisi ek ko bhi na maanna “Kufr” hai. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdillah Bin Abdir Rahman: 38/16)

Jaise koi shakhs Allah Ta’ala ki zaat ko na maane ya us ki sifaat mein se kisi sifat ka inkaar kare, ya farishton ka inkaar kare ya pichhle ambiya (‘Alaihisalaam) par naazil hone waali kitaabon ke baare mein yeh aqeeda rakhe ke woh Allah Ta’ala ki kitaabein nahin theen ya Qur’an Majeed ke kisi mazmoon ka inkaar kare ya kisi Nabi ko na maane ya paigambaron ko jhoota kahe aur un ki taraf buri baaton ko mansoob kare ya taqdeer ka inkaar kare ya aakhirat ke din, qayaamat aur Hashr-o-Nashr ka inkaar kare maslan yoon kahe ke marne ke baad dobaara zinda nahin kiya jaayega ya Allah Ta’ala ko aasmaan wa zameen ke fana karne ki qudrat nahin hai ya hisaab na hoga ya Jannat wa Jahannam ke zikr sirf logon ko khush karne ur daraane ke liye kiya gaya hai, warna haqeeqat kuchh nahin hai ya Qur’aan-e-Kareem ke qa’tee ahkaam mein se kisi hukm ke inkaar kare ya Rosoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki bataai hui kisi baat ko jhutlaaye, to tamaam soorton mein woh kaafir ho jaayega.

Share on: Telegram | WhatsApp