Ghussa na kiya karo

Ghussa na kiya karo

✺ Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur apne Rabb ki bakhshish ki taraf dau'do aur neez us Jannat ki taraf jis ki chaurdaayi aisi hai jaise aasmanon ka aur zameenon ka phailao jo Allah Ta'ala se darne waalon keliye tayyar ki gayi hai yani (un aala darje ke musalmanon keliye hain) jo khushhaali aur tangdasti donon haalton mein naik kaamon mein kharch karte rehte hain aur ghusse ko zabt karne waale hain aur logon ko mu'af karne waale hain aur Allah Ta'ala aise naik logon ko pasand karte hain. (Aal-'Imran 3: 133-134)

✺ Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke ek shakhs ne Nabi Kareem ? se arz kiya ke mujhe koi waseeyat farma dijiye Aap ? ne irshaad farmaaya: Ghussa na kiya karo us shakhs ne apni (wohi) darkhuwast kayi baar dohrayi Aap ? ne har martaba yahi irshaad farmaaya: Ghussa na kiya karo. (Bukhari: 6116)
 
✺ Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Taaqatwar wo nahi jo apne muqabil ko pachhaadh de balke taaqatwar wo hai jo ghusse ki haalat mein apne aap par qaabu paale. (Bukhari: 6114)

✺ Hadees: Hazrat Abu Zarr Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Jab tum mein se kisi ko ghussa aaye aur wo khada ho to usko chahiye ke baith jaye agar baithne se ghussa chala jaye (to theek hai) warna usko chahiye ke lait jaye. (Abu Dawud: 4782)

✺ Faida: Hadees shareef ka matlab ye hai ke jis haalat ki tabdeeli se zehan ko sukoon mile us haalat ko ikhtiyaar karna chahiye taake ghussa ka nuqsaan kum se kum ho. baithne ki haalat mein khade hone se kam aur laitne mein baithne se kam nuqsaan ka imkaan hai. (Mazahir-e-Haq)

✺ Hadees: Hazrat Atiyya Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Ghussa shaitan (ke asar se) hota hai. Shaitan ki paidaish aag se hui hai aur aag paani se bujhayi jaati hai lehaza jab tum mein se kisi ko ghussa aaye to usko chahiye ke wazu karle. (Abu Dawud: 4784)

✺ Hadees: Hazrat Mu'az Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Jo shakhs ghusse ko pee jaye jabke us mein ghusse ke taqaaza ko pura karne ki taaqat bhi ho (lekin iske baawajood jis par ghussa hai usko koi saza na de) Allah Ta'ala Qayaamat ke din usko saari makhluq ke saamne bulayeingey aur usko ikhtiyaar deingey ki Jannat ki huroon mein se jis ko chaahe apne liye pasand karle. (Abu Dawud: 4777)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment