Chugli karna

Chugli karna

Chugal khori ka matlab yeh hai ke koi shakhs 2 aadmiyon ke darmiyaan jhooti sachchi baatein bayaan kare, taake un donon ke aapsi ta'alluqaat kharaab ho jaaein. Yeh Islam ki nazar mein shadeed tareen gunaahon mein se hai. Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: “Chugal khor Jannat mein daakhil nahin hoga”.  (Muslim)

Ek martaba Huzoor ﷺ 2 qabron ke paas se guzre, Aap ﷺ ne farmaaya ke in donon qabr waalon ko azaab ho raha hai aur yeh azaab kisi aisi cheez par nahin ho raha hai, jis ko woh chhod nahin sakte the, bila shuba in ka jurm bahot bada hai, in mein se ek apne peshaab ke chheenton se nahin bachta tha aur doosra chugli khaaya karta tha. (Bukhari)

0 comments:

Post a Comment