Baitulkhala ki Sunnatein


Baitulkhala ki Sunnatein

1) Sar dhhaank kar jaana. (Sunan-e-Kubra Baihaqi: 465)

2) Joota Chappal pehan kar jaana. (Sunan-e-Kubra Baihaqi: 465)

3) Dua padh kar andar jaana. (Bukhaari)

4) Pehle baayaan paaon andar rakhna. (Bukhari, Fathul Baari: 16/425)

5) Qible ki taraf na munh karna aur na peethh karna. (Abu Dawood: 8)

6) Bilkul baat na karna. (Abu Dawood: 15)

7) Khade ho kar peshaab na karna. (Ibne Majah: 309)

8) Baayein haath se istinja karna. (Bukhari: 154)

9) Istinja ke baad mitti ya saabun wagaira se achchhi tarah haath dho lena. (Abu Dawood: 45)

10) Daayein paaon se baahar aana. (Bukhaari)

11) Baahar aane ke baad dua padhna. (Ibne Majah: 300)

0 comments:

Post a Comment