Juwa khelna

Juwa khelna haraam hai: Zamaana-e-Jaahiliyat mein juwe ka bahot riwaaj tha, logon ka yeh ek mehboob mashgala tha. Juwe mein zaalimaana aur naajaaiz tareeqe se maal haasil kiya jaata hai, juwa insaan ko ek lamhe mein kaudiyon ka mohtaaj bana deta hai aur baaz martaba maal-o-jaaidaad se badh kar insaan ki izzat bhi khatre mein pad jaati hai; is liye Rasoolullah ﷺ ne juwe ki tamaam shaklon ko haraam qaraar diya hai aur un ko khatm farmaaya hai.

Qur’aan-e-Kareem ki Sura-e-Maaidah mein Allah Ta’ala irshaad farmaata hai:

“Aye Imaan waalo! Bila shuba sharaab, juwa, but aur juwe ke teer gandi cheezein hain, shaitaan ke kaamon mein se hain; is liye tum in se bacho, taake tum kaamiyaab ho jaao. Shaitaan to yahi chaahta hai ke sharaab aur juwe ke zariye tumhaare darmiyaan dushmani aur bugz paida kar de aur tumhein Allah ki yaad aur namaaz se gaafil kar de, to kya tum rukne waale ho. (Sura-e-Maaidah: 90, 91)

Jab yeh aayat naazil huwi thi to Sahaaba-e-Kiraam (rad) ne fauran kaha: “Aye hamaare parwardigaar ham ruk gaye”. (Musnade Ahmad: 8620, Abu Hurairah (rad))

Lekin aaj phir wahi zamaana-e-jaahiliyat laut aaya hai, hamaare darmiyaan lottery, kabootar baazi aur na jaane juwe ki kaisi kaisi shaklein raaij ho gai hain aur ham musalmaan is mein jakde huwe hain. Yaad rakhiye! Juwe ke zariye kamaaya huwa maal haraam hai.

0 comments:

Post a Comment