Shirk

Shirk ke maani hain shareek karna, Allah ki zaat wa sifaat mein kisi ko shareek karna "Shirk" hai.

Allah Ta’ala ki zaat mein shirk:

Allah Ta'ala ki zaat mein shirk ka matlab yeh hai ke Allah Ta'ala ke alaawa kisi aur ko bhi khuda maanna jaise Isaai Allah Ta'ala ko khuda maanne ke saath saath Hazrat Isa ('Alaihisalaam) ko khuda ka beta aur Hazrat Maryam ('Alaihisalaam) ko khuda ki biwi maante hai, to woh 3 khuda maanne ki wajah se mushrik huwe, aatish parast (aag ki pooja karne waale) 2 khuda maante hain: Ek bhalaai ka paida karne waala, doosra buraai ka paida karne waala, jis ki wajah se woh mushrik huwe aur but (Idol) parast, chaand, sooraj, aag, paani, darakht, patthar jaisi bahot si cheezon ko khuda maan kar mushrik huwe.

Allah Ta’ala ki sifaat mein shirk:

Allah Ta'ala ki sifaat mein shirk ka matlab yeh hai ke jo sifaat Allah Ta'ala ke saath khaas hain, un ko kisi doosre ke liye maanna jaise Allah Ta'ala ke alaawa kisi ko rozi dene waala aur aulaad dene waala samajhna, kisi Nabi aur Wali ke baare mein yeh aqeeda rakhna ke un ko khuda ki tarah gaib ki tamaam baaton ka ilm hai, Allah Ta'ala ki tarah kisi doosre ko Ibaadat ka mustahiq samajhna aur us ke liye ibaadat ka koi fel karna jaise kisi qabr par ya kisi buzurg ke saamne sajda karna, kisi Paigambar aur Wali ke naam ka roza rakhna aur un ke naam par jaanwar zabah karna wagaira wagaira.

Gunaahon mein kufr-o-shirk sab se bade gunah hain, kufr-o-shirk toba ke bagair hargiz maaf nahin hote, kufr-o-shirk ki haalat mein marne waala hamesha Jahannam mein rahega. Qur'an Majeed mein

Allah Ta'ala ne shirk ke baare mein farmaaya (Tarjuma): "Beshak Allah Ta'ala shirk ko maaf nahin karega aur is ke alaawa jis gunah ko jis ke liye chaahega maaf kardega." (Sura-e-Nisa 4: 116)

Aur Kufr ke baare mein farmaaya (Tarjuma): "Jin logon ne kufr kiya aur hamaari aayaton ko jhutlaaya, wahi log Jahannam waale hain, woh us mein hamesha hamesha raheinge." (Sura-e-Baqarah 2: 39)

Share on: Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment