Tohmat lagaana

Tohmat lagaana

Kisi par tohmat lagaana: Tohmat ka matlab yeh hai ke kisi buraai ko us shakhs ki taraf mansoob karna jis ke andar waaqiatan woh buraai na ho. Yeh sirf ek gunaah nahin; balke kai gunaahon ka majmua hai, is mein jhoot bhi hai, khayaanat bhi hai aur ek shakhs ko bila wajah takleef pohnchaana bhi hai. Is liye Qur’an wa hadees mein bahot sakhti ke saath is se mana kiya gaya hai.

Qur’an-e-Kareem mein Allah Ta’ala farmaata hai (Tarjama): “Jo log paak daaman aurton par tohmat lagaayein, phir 4 gawaah le kar na aaein, to un ko 80 kode lagaao aur un ki gawaahi kabhi qubool na karo, aur woh khud faasiq hain.” (Sura-e-Noor: 4)

Is aayat se maaloom hota hai ke tohmat lagaana itna bada gunaah hai ke hamesha ke liye us ki gawaahi ko naaqaabile qubool qaraar diya gaya hai aur Allah Ta’ala ne aise shakhs ko faasiq aur gunehgaar bataaya hai. Abu Daaood Shareef ki ek riwaayat hai:

Huzoor (saws) ne irshaad farmaaya: “Jo (maalik) apne gulaam par tohmat lagaaye; haalaanke woh gulaam begunaah hai, to qayaamat ke din us maalik ko had ke taur par kode maare jaaenge.” (Abu Daaood: 5165)

0 comments:

Post a Comment