Rishtedaaron ke huqooq
Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Beshak (Lafz) “Rahim” (Jis ke maani rishtedaari ke hain) Allah Ta’ala ke naam “Rahmaan” se liya gaya hai. Yaani yeh rishtedaari Rahmaan ki rehmat ki ek shaakh hai, (aur isi nisbat se) Allah Ta’ala ne is se farmaaya: Jo tujhe jodega main use jodoonga, aur jo tujhe todega main use todoonga. (Bukhari)
Rasoolullah ﷺ ka farmaan hai: Jo shakhs yeh chaahe ke us ki rozi mein badhotri (aur barkat) ho aur us ki umar lambi ho, us ko chaahiye ke apne rishtedaaron ke Saath achchha bartaao kare. (Bukhaari)
1) Rishtedaaron ke saath achchha bartaao karna, chaahe woh hamaare saath bura bartaao karein.
2) Rishtedaaron se mulaaqaat karna aur un ki khair khabar lete rehna.
3) Apni haisiyat ke mutaabiq rishtedaaron par kharch karna.
4) Zaroorat ke waqt rishtedaaron ki jaani aur maali madad karna.

0 comments:
Post a Comment