Farishte

     Farishte Allah Ta’ala ki noorani makhlooq aur us ke muazzaz bande hain, woh gunaahon se paak hain, din raat Allah Ta’ala ki ibaadat mein mashgool rehte hain, jin kaamon par Allah Ta’ala ne un ko laga diya hai, un hi mein lage rehte hain, kabhi Allah Ta’ala ki nafarmaani nahin karte.

     Qur’aan mein hai: Farishte Allah ke kisi hukm mein us ki naafarmaani nahin karte aur wahi karte hain jis ka unhein hukm diya jaata hai. (Sura-e-Tahreem 66: 6)

     Farishte na mard hain na aurat, woh khaane peene ke mohtaaj nahin, un ki giza apne rab ki ibaadat wa bandagi karna aur us ke ahkaam ko baja laana hai, woh ibaadat se uktaate nahin hain, woh ibaadat se takabbur aur aar nahin karte, Allah Ta’ala ne un ko shaklein badalne ki taaqat de rakhi hai, kabhi woh insaan ki shakl mein haazir hote hain aur kabhi doosri shakl mein, aasmaanon aur zameenon ke saare intezaamaat Allah Ta’ala ne un ke supurd kiye hain. Farishte beshumaar hain, un ki tadaad Allah Ta’ala ke siwa koi nahin jaanta. Qur’aan mein hai: Aur tumhaare parwardigaar ke lashkaron (Farishton) ko us ke alaawa koi nahin jaanta. (Sura-e-Muddassir 74: 31)

Share on: Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment