Hadiye ko haqeer samajhna

Hadiye ko haqeer samajhna

Kisi insaan ko apni muhabbat aur taalluq zaahir karne ke liye kuchh dena “Hadiya” hai. Hadiya lena dena masnoon hai. Huzoor ﷺ ne is par amal karne ki targeeb di hai. Hadiya lene aur dene se aapas mein muhabbat badhti hai.

Huzoor ﷺ ne farmaaya: “Tahaadau fainnal hadiyyata tuzhibu wa harassadri” (Tirmizi: 2130)

Tarjama: Aapas mein hadiya liya diya Karo, kyun ke hadiya aur tohfa dilon se keene ko khatm kar deta hai.

Hadiye ke aadaab mein se hai ke jo cheez hadiye mein di jaaye, chaahe woh miqdaar mein kitni hi kam aur maamooli ho, phir bhi is ko poori ragbat ke saath qubool Karna chaahiye, ise haqeer na samajhna chaahiye. Baaz Aurton ki aadat hoti hai ke jab un ke paas hadiye mein koi cheez bheji jaati hai aur woh miqdaar mein kam hoti hai ya maamooli haisiyat ki cheez hoti hai to us ka shukriya ada karne k bajaaye us ko haqeer samajhti hain, yeh durust nahin hai aur Islami tareeqe ke khilaaf hai, Rasoollullah ﷺ ne farmaaya: koi padosan kisi padosan ke hadiye ko haqeer na samjhe. (Tirmizi: 2130)

Lihaaza har ek musalmaan ko shauq wa ragbat k saath hadiya qubool kar lena chaahiye, khud Huzoor ﷺ logon ki dil daari Ka bahot khayaal rakhte the. Ek martaba kisi sahaabi ne app ﷺ ki khidmat mein bataur hadiya ek naqsh-o-nigaar waali chaadar bheji, Aap ﷺ ne woh chaadar waapas farmaadi, un ke paas ek maamooli chaadar thi, Aap ﷺ ne farmaaya ke mujhe is ke badle woh chaadar de do. (Bukhari)

Faaida: Aap ﷺ ne aisa is liye farmaaya taake chaadar waapas karne ki wajah se un ka dil na toot jaaye.

0 comments:

Post a Comment