Aurton ke liye baal katwaana

Aurton ke liye baal husn wa khoobsoorti ki alaamat hai, isi liye aam taur par aurtein lambe aur ghane baalon ko pasand karti hain, magar aaj ke daur mein baaz aurton ne baalon ko taraashwaana shuru kar diya hai, is ki mukhtalif shaklein banwaati hain, baaz peshaani se oopar ke baalon ko kaatti hain aur kuch khawateen mardon ki tarah chhota rakhne ki koshish karti hain, yeh sab Islami tehzeeb wa akhlaaq ke munaafi hai aur gair Islami tareeqa hai, isi liye shareef, nek, ba haya aur Deendar khawateen bhi is ko pasand nahi karti hain.

Haqeeqat yeh hai ki is amal ki wajah se aurat mardon se mushabehat ikhtiyaar karne waali ban jaati hai aur ye bahot hi khatarnaak aur halaakat wa tabaahi ka sabab hai, Huzoor ﷺ ne aisi aurton par laanat farmaai hai jo mardon ki mushaabehat ikhtiyaar karti hain. Neez is mein faasiq wa faajir logon ke saath tashabboh bhi paaya jaata hai, aur logon ki mushaabehat ikhtiyaar karne se bhi bachna zaroori hai. Is liye ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jis ne jis qaum ke sath mushaabehat ikhtiyaar ki woh unheen mein se hai. (Abu Dawood: 4031)

Isi tarah ye bhi yaad rakhna chaahiye ke abru'on aur bhawon ko taraashna ya ukhaadna, ya daantoon ko ghis kar baareek karna aur use kaat kar nokeela banaana jaisa ke aaj ke daur mein baaz aurtein karti hain, Islami sharee'at ki ru se durust nahin hai, is se bhi sab ko bachna chaahiye, kyun ke zeenat ke yeh tareeqe fitrat aur etedaal se hate huwe hain aur Allah Ta'ala ki paida karda khalqat aur shakl-o-soorat mein ek tarah ki tabdeeli hai aur Allah Ta'ala ki khalqat mein tabdeeli karna ek shaitaani kaam hai, Qur'an-e-kareem mein hai ke shaitaan ne kaha tha: Aur main logon ko hukm doonga to woh Allah ki banaai hui khalqat mein tabdeeli karenge. (Surah-e-Nisa 4: 119)

Yahaan yeh samajh lena chaahiye ke aurton ko zeenat ikhtiyaar karne se mana nahin karta hai, balke is ki ijaazat deta aur baaz martaba to is ka hukm diya hai, albatta is silsile mein kuchh hidaayetein di hain jis mein sharaafat wa gairat hai, sharm-o-haya hai, etedaal aur meyaana rawi hai aur jis ko apnaakar ek aurat shareef, nek wa Deendar aur Allah ki nazar mein mehboob ban sakti hai, is liye tamaam aurton ko Islami taur tareeqe ko apnaana chaahiye aur doosron ke tareeqon se bachne ki poori koshish karni chahiye.

Share this on: Email | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment