Gunaah

GUNAAH: Naafarmaani aur shareeat ke khilaaf kaam karne ko gunaah kehte hain. Gunaah khwaah chhote hon ya bade, insaanon ke liye duniya wa aakhirat mein tabaahi aur barbaadi ka zariya hai. Gunaahon ki wajah se insaan ka dil kaala ho jaata hai aur us se khair-o-bhalaai ke qubool karne ki salaahiyat khatm ho jaati hai.Tirmizi Shareef ki riwaayat hai: Huzoor irshaad farmaate hain:Bila shuba jab banda koi gunaah karta hai, to us ke dil par ek kaala nukta laga diya jaata hai, phir jab woh us gunaah ko chhod kar tauba wa istigfaar kar leta hai, to us ke dil ko saaf kar diya jaata hai aur agar woh us gunaah ko nahin chhodta; balke dobaara us ko karta hai, to us kaale nukte mein aur izaafa kar diya jaata hai; yahaan tak ke woh poore dil par chha jaata hai. (Tirmizi: 3334, Abu Hurairah)

Sahaaba-e-Kiraam kisi bhi gunaah ko chhota nahin samajhte the aur har qism ke gunaah se bachne ki koshish karte the .Bukhaai Shareef ki hadees hai:Ek martaba Hazrat Anas (raz) ne farmaaya ke: Tum log kuchh aise kaam karte ho jin ko tum baal se ziyaada baareek samajhte ho, haalaanke ham log Rasoolullah ﷺ ke zamaane mein unheen cheezon ko halaak wa barbaad karne waali samajhte the. (Bukhari: 6492)

Is liye ham logon ko bhi chaahiye ke har tarah ke gunaahon se bachne ki poori koshish karein.

0 comments:

Post a Comment