Nikaah

Nikaah us muaamle ko kehte hain jis se mard aur aurat ek doosre ke liye halaal hojaate hain.
Fazeelat (Hadees): Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: Jis shakhs ne nikaah kar liya, us ne apna aadha Deen mukammal kar liya, ab use chaahiye ke baqiya aadhe Deen ke baare mein Allah Ta'ala se darta rahe. (Shoabul Imaan: 5486)

Nikaah Ibaadat hai, ambiya-e-kiraam aur auliya-e-izaam ne is ka bada ehtemaam kiya hai, nikaah jahaan miyaan biwi ke liye raahat-o-sukoon ka zariya hai, wahin bahot se khair-o-barkat ka sabab hai, nikaah ki wajah se mard wa aurat bahot se gunaahon aur buraaiyon se mahfooz hojaate hain, nikaah ka maqsad hi badkaari se hifaazat aur paak daamani hai, nek aulaad maan baap ke haq mein sadqa-e-jaariya aur magfirat ka zariya banti hai.

Note: Islam mein bewah aurton ko bhi nikaah ki targeeb di gayi hai, Nabiye Kareem ﷺؑ ne jin aurton se nikaah farmaaya tha woh sab Hazrat Aaisha (Radhiallahu 'Anha) ke alaawa bewah ya mutallaqa theen, Hazrat Khadeeja (Radhiallahu 'Anha) 2 shoharon ke baad Aap ﷺ ke nikaah mein sab se pehle aayein, is liye bewah se nikaah karne ko bura nahin samajhna chaahiye aur na bewah aurat ko nikaah karne mein sharm karna chaahiye, yeh mahaz baatil khayaalaat hain.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment