Padosi ke huqooq


Padosi ke huqooq

Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu-‘Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya: Allah ki qasam woh shakhs momin nahin! Allah ki qasam woh shakhs momin nahin! Allah ki qasam woh shakhs momin nahin! kisi ne poochha: Aye Allah ke Rasool! Kaun shakhs momin nahin? Rasoolullah (Sallallahu-‘Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya: Woh shakhs jis ki takleef wa sharaarat se us ka padosi mahfooz na ho. (Bukhari)

1) Padosi ke saath narmi ka muaamla karna, use koi takleef na pohnchaana.
2) Museebat ke waqt use tasalli dena aur us ki madad karna.
3) Deen aur duniya ke muaamlaat mein us ki rehnumaai karna.
4) Khaane peene aur deegar zarooriyaat ki cheezein hadiye mein dena.
5) Agar koi cheez namak, paani, bartan wagaira maange to de dena.
6) Un se takleef pohnche to us par sabr karna.

0 comments:

Post a Comment