Qaza Namaz

Kisi bhi ibaadat ko us ke muqarrah waqt ke khatm hone ke baad ada karne ko “Qaza” kehte hain, jaise fajr ki namaaz sooraj tulu hone ke baad ada ki jaaye to yeh namaaz qaza kehlaayegi.

Allah Ta’ala ka irshaad hai: Beshak namaaz imaan waalon par waqt ki paabandi ke saath farz hai. (Qur’an: Sura-e-Nisa:103)

Is liye har farz namaaz ko us ke muqarrarah waqt hi mein ada karna zaroori hai, bagair Kisi majboori ke namaaz qaza karna gunahe kabeera hai. Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai ke jo shakhs 2 namaazon ko bagair kisi uzr ke ek waqt mein padhe, woh kabeera gunaahon ke darwaazon mein se ek darwaazeh par pahonch gaya. (Tirmizi: 188)

Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: Jis shakhs ki ek bhi namaaz chhoot gai, woh aisa hai jaisa ke us ke ghar ke log aur maal-o-daulat sab chheen liya gaya ho.

Lihaaza jahaan tak hosake namaazon ko qaza karne se bachna chaahiye, agar koi namaaz qaza hojaaye to Allah Ta’ala se maafi maange, toba kare aur aainda namaaz ko qaza na karne ka pukhta iraada kare aur us namaaz ki qaza jald az jalz padhle. Hadees shareef mein hai ke jo kisi namaaz ko bhool jaaye ya namaaz ke waqt sota reh jaaye to us ki talaafi yahi hai ke jab yaad aajaaye namaaz padhle. (Muslim)

Farz aur witr namaazon ki qaza karna laazim hai. Qaza namaaz ke liye koi waqt mutayyan nahin hai. 3 makrooh auqaat (Tulu-e-Aaftaab, Zawaal-e-Aaftaab aur Guroob-e-Aaftaab) ke alaawa kisi bhi waqt qaza namaaz padh sakte hain. (Shaami: 5/312)

0 comments:

Post a Comment