Jaandaar ki tasweerein banaana bada gunah hai

Jaandaar ki tasweerein banaana bada gunah hai

Jaandaar ki tasweerein banaane waale ko sab se ziyaada azab hoga: Jaandaar ki tasweerein banaana bhi bahot bada gunaah hai, qayaamat ke din jaandaar ki tasweer banaane waale ko sakht tareen azaab diya jaayega. Bukhaari Shareef ki ek hadees hai: Hazrat Abdullah bin Masood (raz) kehte hain ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: “Allah Ta’ala ke nazdeek sab se ziyaada azaab tasweer banaane waalon ko hoga.” (Bukhari)

Jaandaar ki jo bhi tasweer banaai jaayegi, Allah Ta’ala qayaamat ke din us mein jaan daal denge aur phir wahi tasweerein apne banaane waale ko Jahannam mein azaab dengi. Rasoolullah (saws) ne irshaad farmaaya: “Har tasweer banaane waala Jahannam mein hoga, us ne jo bhi tasweer banaai hogi, us ko ek jaandaar cheez bana di jaayegi, jo Jahannam mein us shakhs ko azaab degi.” (Muslim)

Jaandaar ki tasweerein Allah Ta’ala ko itni naapasand hain ke jis ghar mein woh tasweerein hoti hain, us mein rehmat ke farishte daakhil nahin hote hain. Bukhaari Shareef ki ek riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: “Farishte kisi aise ghar mein daakhil nahin hote hain, jis mein kutta ya tasaaweer hon.” (Bukhari)

Jo log apne gharon mein tarah tarah ki jaandaar cheezon ki tasweerein latka kar sajaate hain, woh is hadees par gaur kar lein ke un ka ghar kis qadr khair-o-barkat se mehroom hai.

0 comments:

Post a Comment