Qur'an-e-Kareem ki tilaawat karna

Qur'an-e-Kareem ki tilaawat karna

Qur'an-e-Kareem Allah Ta'ala ki taraf se naazil shuda mubaarak kalaam hai, us mein ahkaam wa ma'arif aur akhlaaq-o-aadaab bayaan kiye gaye hain, us mein duniya wa aakhirat ki kaamyaabi ke aamaal bataaye gaye hain aur woh tamaam insaanon ke liye hidaayat ka zariya hai. Yeh bahot hi ba barkat aur muqaddas kalaam hai, is ki barkatein beshumaar hain, is ke alfaaz bahot hi paakeezah aur mubaarak hain. Jo shakhs is ki tilaawat karta hai, is ke liye aakhirat mein be inteha ajr-o-sawaab hai aur is ki taaleemaat par amal karna duniya wa aakhirat ki sar bulandi aur izzat-o-asmat ka zariya hai. Woh log bahot hi khush naseeb aur sa'adatmand hain jo hamesha is ki tilaawat karte aur is ki taaleemaat par amal karte hain, is ko samajhne aur doosron ko samjhaane ki koshish mein lage rehte hain. Aise shakhs ko Allah ke Rasool ﷺ ne qaabil-e-rashk bataaya hai, chunaanche ek Hadees mein irshaad farmaaya: “Sirf 2 aadmi qaabil-e-rashk hain: Ek woh jis ko Allah ne Qur'an ki nemat ata farmaai phir woh din raat us mein laga rehta hai. Aur doosra woh khush naseeb aadmi jis ko Allah ne maal-o-daulat se nawaaza aur woh din raat us ko raahe khuda mein kharch karta rehta hai.” (Bukhari)

Qur'an-e-Kareem ki tilaawat se dil ki safaai hoti hai aur Allah ki yaad aur aakhirat ke anjaam se befikri aur gaflat door hoti hai. Hadees mein hai ke Rasullulah ﷺ ne farmaaya: Insaanon ke quloob par isi tarah zang lag jaata hai jis tarah paani lagne ki wajah se lohe par zang aajaata hai. Arz kiya gaya: Ya Rasullulah! Dilon ke zang ki safaai ki kya soorat ho sakti hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Maut ko kasrat se yaad karna aur Qur'an-e-Kareem ki tilaawat karna. (Sho'ab-ul-Imaan: 2014)

0 comments:

Post a Comment