Halaal kamaai ke fawaaid wa barkaat

Halaal kamaai ke fawaaid wa barkaat

Insaan zindagi guzaarne ke liye bahot si cheezon ka mohtaaj hai; sar chhupaane ke liye ghar ka zarooratmand hai to tan dhaankne ke liye kapde ka mohtaaj, zinda rehne ke liye roti bhi zaroori hai, goya roti, kapda, makaan insaan ki bunyaadi zaroorat hai. Jo log Allah ko nahin pechaante aur us par Imaan nahin rakhte woh apne maqsad ko haasil karne ke liye halaal wa haraam ka khayaal nahin rakhte, is liye woh sood bi khaate hain aur sharaab bhi peete hain. Doosron ka maal hadap bhi karte hain. Lekin jo log Imaan waale hain un ke liye hargiz jaaiz nahin ke woh apni zarooriyaat ko poora karne mein aazaadaana rawayya ikhtiyaar karein un ke liye halaal wa paakeeza cheezon ka ikhtiyaar karna aur haraam wa naajaaiz kamoon se bachna intehaai zaroori hai. khaas taur par apni kamaai aur rozi mein is baat ka khayaal rakhna bahot ahem hai. Har waqt yeh khayaal rakhna chaahiye ke us ke pet mein halaal hi luqma jaaye, haraam luqma na ja sake. Huzoor ﷺ ne farmaaya: Woh gosht Jannat mein na ja sakega jo haraam luqme se pala badha ho. Isi liye hadees paak mein halaal rozi ki talaash wa justaju ko farz bataaya gaya hai. Is halaal rozi ke beinteha barkaat wa fawaaid hain.

Halaal rozi ki barkat se dil mein noor paida hota hai aur nek aamaal ki taufeeq milti hai, aur duaaein qubool hoti hain, Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Beshak Allah Ta'ala paak hai aur paak hi ko qubool farmaate hain. (phir farmaaya ke) yaqeenan (halaal khaane ke baare mein) Allah Ta'ala ne paigambaron ko jo hukm farmaaya ke Rasoolo ! paak cheezein khaao aur nek kaam karo, wahi hukm momineen ko bhi diya ke aye Imaan waalo ! Jo paak cheezein ham ne tum ko di hain un mein se khaao. Us ke baad Huzoor ﷺ ne ek aise shakhs ka zikr kiya jo lamba safar kar raha ho, us ke baal bikhre huwe hon, jism par gard-o-gubaar ata huwa ho, aur woh aasmaan ki taraf haath uthhaaye huwe Ya Rab Ya Rab keh kar dua kar raha ho. Yeh shakhs dua to kar raha hai aur haal hai ke us ka khaana haraam hai, peena haraam hai, pahenna haraam hai aur us ko haraam giza di gai hai, to in haalaat mein us ki dua kaise qubool hogi! (Muslim)

Matlab yeh hai ke musaafir aur pareshaan aadmi ki dua qubool hoti hai. Magar haraam khaane peene ki wajah se us ki dua rad kar di jaati hai, aaj bahot se log qubool na hone ki shikaayat karte hain, un ko chaahiye ke pehle apna haal dekhhein ke kaheen haraam aamdani ka istemaal to nahin ho raha hai, agar kisi bhi tarah se haraam aamdani zindagi mein daakhil ho gai to us ki dua ki qubooliyat ruki rahegi.

0 comments:

Post a Comment