Naap tol mein kami karna


Naap tol mein kami karna

Naap tol mein kami karna aur dandi maarna bhi un gunaahon mein se hai jin par dardnaak azaab ki khabar di gayi hai. Sura-e-Mutaffifeen mein Allah Ta’ala Irshaad farmaata hai: Badi kharaabi hai naap tol mein kami karne waalon ki, jin ka haal yeh hai ke jab woh logon se khud koi cheez naap kar lete hain, to poori poori lete hain aur jab woh kisi ko naap kar ya tol kar dete hain to ghata kar dete hain. (Sura-e-Mutaffifeen: 1-3)

Lihaaza jab bhi kisi ko kuchh wazan kar ke dena ho, to baraabar tolna chaahiye. Sura-e-Bani Israail mein Allah Ta’ala irshaad farmaata hai:Jab kisi ko koi cheez paimaane se naap kar do, to poora naapo aur tolne ke liye sahi taraazu istemaal karo, yahi tareeqa durust hai aur isi ka anjaam behtar hai. (Sura-e-Bani Israail: 35)

Munaasib yeh hai ke insaan doosre ko kuchh naap tol kar de, to jhukta huwa tol kar de, is mein saamne waale par ehsan bhi ho jaayega aur naap tol mein kisi kami ka ehtimaal bhi nahin rahega aur yahi Huzoor ﷺ ka tareeqa tha. Hazrat Suwaid bin Qais Raziyallahu anhu farmaate hain: Ek martaba main aur mere saath ek aur shakhs Makhrafa Abdi ne bechne ke liye kuchh kapde laaye, hamaare paas Huzoor ﷺ tashreef le aaye, Us waqt ham log Mina mein the aur hamaare paas ujrat par qeemat tolne waala shakhs bhi maujood tha, Aap ne mujh se ek paaejaama khareeda aur wazan karne waale se kaha ke qeemat tol do aur zara jhukta huwa tolo (Nasai: 4592)

0 comments:

Post a Comment