Namaaz ki taakeed


Namaaz ki taakeed

“Namaaz” Islam ka doosra rukn hai, Qur’an wa Hadees mein namaaz padhne ki sakht taakeed ki gai hai, yeh tamaam ibaadaton mein sab se afzal Ibaadat hai. Namaaz har musalmaan par farz hai aur zaahiri taur par momin aur kaafir ke darmiyaan farq karne waali cheez namaaz hi hai, goya yeh musalmaanon ki ek khaas nishaani hai.

Huzoor ﷺ ne Irshaad farmaaya: Aadmi aur kufr wa shirk ke darmiyaan Namaaz chhod dene hi ka farq hai. (Muslim)

     Islam mein Namaaz ko jitni ahmiyat di gai hai, kisi aur ibaadat ko utni ahmiyat nahin di gai hai. Namaaz ko chhodna ya us ko ada karne mein laaparwaahi karna sakht gunaah hai, is se Allah Ta’ala bahot naaraaz hote hain.

Ek Hadees mein Rasoolullah ﷺ ne farmaaya ke jo banda ehtemaam se Namaaz ada karega, to woh (Namaaz) qayaamat ke din us ke waaste noor hogi, (Jis se Qayaamat ki andheriyon mein us ko roshni milegi aur us ke Imaan waala hone aur Allah Ta’ala ka farmaan bardaar banda hone ki nishaani) aur daleel hogi aur us ke liye najaat ka zariya banegi aur jo shakhs namaaz ki adaaigi ka ehtemaam nahin karega, to woh us ke waste na noor banegi aur na daleel hogi aur na hi najaat ka zariya hogi aur woh badbakht Qayaamat mein Qaaroon, Firaon, Haamaan aur Umayya bin Khalf ke saath hoga. (Musnad-e-Ahmad: 6576)

     Is liye ham logon ko kabhi bhi namaaz nahin chhodni chaahiye. Is ko waqt par ada karne aur jamaat ke saath padhne ka poora ehtemaam karna chaahiye. Agar kabhi kisi sakht majboori ki wajah se Namaaz qaza ho jaaye, to jald se jald padh lene ki koshish karni chaahiye. Agar hum nahin padhenge, to Allah Ta’ala ham se naaraaz ho jaayeinge aur ham ko Jahannam mein daal deinge.

0 comments:

Post a Comment