Allah Ta'ala par bharosa

Allah Ta'ala saari kaainaat ke khaaliq-o-maalik hain, saare aalam ka nizaam tanhe tanha khud chala rahe hain, is kaarkhaana-e- Aalam jo kuchh kisi ko milta hai woh usi ke hukm aur faisle se milta hai. Agar woh kisi ko kuchh dena chaahe aur saari duniya ke log mil kar us ko mahroom karna chaahe to woh us ko hargiz mahroom nahin kar sakte. Agar woh kisi ko mahroom kar dena chaahe aur saari duniya ke log mil kar us ko nawaazna chaahein to woh us ko hargiz nawaaz nahin sakte. Maaloom huwa ke asl nawaazne waali zaat Allah ki hai aur asl mahroom karne waali zaat Allah ki hai. Haan hamein duniya mein jo cheezein dikhaai deti hain aur ehsaas hota hai un cheezon se hamein zarooriyaat mil rahi hai, woh darasal asbaab aur zaraaye hain, un ki haisiyat is ke siwa kuchh nahin hai ke woh cheezon ka ham tak pahonchne ke liye Allah hi ke muqarrar kiye huwe sirf zariye aur raaste hain jis tarah ke gharon mein paani jin nalon ke zariye pahonchta hai woh paani pahonchaane ke sirf zariye aur raaste hain, paani ki taqseem mein un ka apna koi dakhal aur koi hissa nahi hai, isi tarah is aalme wujood mein kaarfarmaai asbaab ki bilkul nahin balke kaarfarma aur muassir sirf Allah Ta'ala ki zaat aur us ka hukm hai.

Is haqeeqat par dil se yaqeen kar ke apne tamaam maqaasid aur kaamon mein sirf Allah Ta'ala ki zaat par etemaad aur bharosa karna, usi se lav lagaana, usi ki qudrat aur usi ke karam par nazar rakhna, usi se ummeed ya khauf hona aur usi se dua karna wagaira ka naam tawakkul hai. Zaahiri asbaab wa tadaabeer ko chhod dena tawakkul ke liye laazim nahin hain. Balke asbaab ke hote huwe bhi Allah par bharosa aur etemaad karna chaahiye.

Allah Ta'ala par tawakkul wa etemaad ki ahadees mein badi taakeed aayi hai aur us ki fazeelat bataai gai hai, chunaanche Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke meri ummat mein se 70,000 bagair hisaab ke Jannat mein jaaeinge. Woh woh bandagaane khuda honge jo mantar nahi karaate, shugoone bad nahin lete aur apne parwardigaar par tawakkul karte hain. (Bukhari: 6472)

Ek aur hadees mein tawakkul ki targeeb dete huwe Rasulullaah ﷺ ne irshaad farmaaya ke agar tum log Allah par aisa tawakkul aur aisa etemaad karo jaisa ke us par tawakkul karne ka haq hai to tum ko woh is tarah rozi de jis tarah parindon ko deta hai, woh subah ko bhooke apne aashiyaanon se nikalte hain aur shaam ko pet bhare waapas aate hai. (Tirmizi: 2344)

Share on: 

0 comments:

Post a Comment