Ifat-o-Asmat ki Hifazat

Ifat-o-Asmat ki Hifazat

Ifat wa asmat sharm-o-haya aur paak-daamani aurton keliye ek qeemati zewar hai, jis ki hifaazat karna zaroori hai, jab tak aurat is ki hifaazat karti hai, poora khaandaan, balke poora muaashera paakeezah rahta hai aur Allah Ta’ala ki rehmat aur us ki madad us ke saath rahti hai, aur poore khaandaan mein us ko izzat wa ehteraam ki nigaah se dekha jaata hai.

Qur’an wa Hadees mein ifat wa asmat ki hifaazat karne aur paakdaamani ikhtiyaar karne ki badi taqeed ki gai hai. Qur’an-e-Kareem mein Allah Ta’ala ka irshad hai (Tarjama): Aur momin aurton ko yeh keh dijiye ke woh apni nigaahein neechi rakhein aur apni sharmgaahon ki hifaazat karein. (Sura-e-Noor :31)

Is ke alaawa aur aayaton mein bhi ifat wa asmat ki hifaazat ka hukm diya gaya hai aur aisi aurton ke liye gunaahon ki bakhshish aur ajre azeem dene ka waada kiya hai. Is liye har ek ko ifat wa asmat ki poori hifaazat karni chaahiye. Islaam ne aurton ko yeh hidaayat di hai ke woh parde ka poora ehtemaam karein, Libaas wa poshaak sharee’at ke mutaabiq pehnein, shaded zaroorat ke bagair ghar se baahar na niklein, agar kabhi zaroorat se gharon se nikalna ho, to nigaahein neechi rakhein aur gair mehram ko bilkul na dekhein, yeh sab is liye hai take aurton ki asmat mehfooz reh sake. Shaitaani nigaah un ki taraf na uthhe aur phir poora muaasharah paakeezah aur Deeni ban jaaye. Sharee’at ke in ehkaam par amal kar ke hi aurtein apni asmat mehfooz rakh sakti hain aur nek seerat wa akhlaaq waali aur paakdaaman ban sakti hain, is liye tamaam aurton ko dil-o-jaan se sharee’at ke in ehkaam par amal karna chaahiye, aur inheen ke mutaabiq apni zindagi guzaarni chaahiye.