Logon se maafi ka muaamla karo

Logon se maafi ka muaamla karo

✺ Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Imaan waalon ko chaahiye ke (Jis se un ke haq mein koi ziyaadati aur qusoor ho gaya ho, us ko) woh maaf kar diya karein aur nazar andaaz kar dein. Kya tum yeh nahin chaahte ke Allah tumhein maaf kar de aur Allah bakshne waala aur bahot maherbaan hai. (Sura-e-Noor 24: 22)

✺ Hamaare Nabi ﷺ ne apni zaat ke liye kabhi badla nahin liya; jab kaafiron ne Aap ﷺ par patthar barsaaye aur us se Aap ﷺ ka chehra-e-mubaarak khoon se tar ho gaya tab bhi Aap ﷺ ki zabaan par yeh alfaaz the: Aye Allah! Meri qaum ko maaf kar de; kyun ke yeh log jaante nahin hain. (Bukhari: 6929)
Share on: 

Khudkushi Mat Karo

Khudkushi Mat Karo

✺ Qur'an mein Allah farmaata hai (Tarjama): Aur apne aap ko qatl na karo; yaqeen jaano! Allah Ta'ala tum par bahot maherbaan hai aur jo shakhs ziyaadati aur zulm ke taur par aisa karega, to ham us ko aag (Jahannam) mein daakhil karenge. (Sura-e-Nisa: 29-30)

✺ Yeh zindagi Allah Ta'ala ki amaanat hai, is mein kisi tarah ka tasarruf kar ke is ko khatm kar dena sab se badi khayaanat hai aur yeh hamaare liye jaaiz nahin hai. Har ek ki zindagi mein aaraam bhi hai aur museebat bhi, khushi bhi hai aur gam bhi, Islaam har museebat aur gam par sabr karna sikhaata hai aur is par bepanaah ajr-o-sawaab se nawaazta hai; is liye kisi museebat aur gam ki wajah se khudkushi kar lena haraam hai aur aakhirat mein is ki bahot sakht saza hai. Sahi bukhaari ki ek riwaayat hai:

✺ Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne pahaad se gir kar khudkushi ki woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein (pahaad se) girta rahega aur jis ne zahar pi kar khudkushi ki, us ka zahar us ke haath mein hoga aur woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein us ko peeta rahega aur jis ne kisi lohe ke zariye khudkushi ki, to us ke haath mein loha hoga, jise woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein apne pet mein ghonpta rahega. (Bukhaari: 5778)

✺ Aam taur par log kisi pareshaani mein mubtala ho kar khudkushi kar lete hain aur yeh sochte hain ke jab mar jaayenge aur is duniya se chale jaayenge, to is museebat aur pareshaani se najaat mil jaayegi; lekin Aap ﷺ ki hadeese paak bata rahi hai ke is duniya se jaane ke baad aise logon ko aakhirat mein is qadr bhayaanak qism ke azaab ka saamna karna padega. Jab ham is duniya ki chand roza zindagi ki pareshaani ko bardaasht nahin kar sakte, to aakhkirat ki itni sakht saza ko kaise jhel paayenge.

Share on: 

Be-hayaai waale aamaal se bacho

Be-hayaai waale aamaal se bacho

Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aye Aadam ke beto aur betiyo! Shaitaan ko aisa mauqa hargiz na dena ke woh tumhein is tarah fitne mein daal de jaise us ne tumhaare maan baap ko Jannat se nikaala, jab ke un ka libaas un ke jism se utarwa liya tha, taake un ke ek doosre ki sharm ki jagah dikha de. Woh aur us ka jattha tumhein wahaan se dekhta hai jahaan se tum unhein nahin dekh sakte. Un shaitaanon ko ham ne unhi ka dost bana diya hai jo imaan nahin laate aur jab yeh (kaafir) log koi be-hayaai ka kaam karte hain to kehte hain ke ham ne apne baap daadaaon ko isi tareeqe par paaya hai, aur Allah ne hamein aisa hi hukm diya hai. Tum (un se) kaho ke: Allah be-hayaai ka hukm nahin diya karta. Kya tum woh baatein Allah ke naam lagaate ho jin ka tumhein zara ilm nahin? (Sura-e-Aaraaf: 27-28)

Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Haya Imaan se hai aur Imaan Jannat se hai, buri baat bolne se dil mein sakhti paida hoti hai aur dil ka sakht hona Jahannam mein jaane ka sabab hai. (Tirmizi: 2009)

Hadees: Hazrat Anas Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Fahash goyi har cheez ko aibdaar bana deti hai aur sharm wa haya har cheez ko khoobsoorat bana deti hai. (Ibne Maajah: 4185)

Hadees: Huzur ﷺ ne farmaaya: Jab Allah Ta'ala kisi bande ko barbaad karna chaahta hai to us se sharm wa haya nikal jaati hai aur Khuda ka gussa us par musallat ho jaata hai aur Khuda ke nazdeek bahot hi maayoob aur bura samjh jaata hai. (Ibne Maajah: 4054)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Nikaah

Nikaah us muaamle ko kehte hain jis se mard aur aurat ek doosre ke liye halaal hojaate hain.
Fazeelat (Hadees): Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: Jis shakhs ne nikaah kar liya, us ne apna aadha Deen mukammal kar liya, ab use chaahiye ke baqiya aadhe Deen ke baare mein Allah Ta'ala se darta rahe. (Shoabul Imaan: 5486)

Nikaah Ibaadat hai, ambiya-e-kiraam aur auliya-e-izaam ne is ka bada ehtemaam kiya hai, nikaah jahaan miyaan biwi ke liye raahat-o-sukoon ka zariya hai, wahin bahot se khair-o-barkat ka sabab hai, nikaah ki wajah se mard wa aurat bahot se gunaahon aur buraaiyon se mahfooz hojaate hain, nikaah ka maqsad hi badkaari se hifaazat aur paak daamani hai, nek aulaad maan baap ke haq mein sadqa-e-jaariya aur magfirat ka zariya banti hai.

Note: Islam mein bewah aurton ko bhi nikaah ki targeeb di gayi hai, Nabiye Kareem ﷺؑ ne jin aurton se nikaah farmaaya tha woh sab Hazrat Aaisha (Radhiallahu 'Anha) ke alaawa bewah ya mutallaqa theen, Hazrat Khadeeja (Radhiallahu 'Anha) 2 shoharon ke baad Aap ﷺ ke nikaah mein sab se pehle aayein, is liye bewah se nikaah karne ko bura nahin samajhna chaahiye aur na bewah aurat ko nikaah karne mein sharm karna chaahiye, yeh mahaz baatil khayaalaat hain.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp