Maan Baap ke huqooq

✺ Allah Ta'ala Qur'an mein farmaata hai (Tarjama): Aur tumhaare Rab ne yeh hukm diya hai ke us ke siwa kisi ki Ibaadat na karo, aur maan baap ke saath achchha sulook karo, Agar maan baap mein se koi ek ya donon tumhaare saamne budhaape ko pahonch jaaein, to unhein "Uf" tak na kaho aur na unhein jhidko, balke un se izzat ke saath baat kiya karo, aur un ke saath muhabbat ka bartaao karte huwe un ke saamne apne aap ko inkesaari se jhukaao, aur yeh dua karo "Aye Rab! Jis tarah inhon ne meri bachpan mein parwarish ki hai, aap bhi in ke saath rehmat ka muaamla kijiye." (Sura-e-Bani Israail 17: 23,24)

✺ Ek shakhs ne Rasoolullah ﷺ se poochha: Aye Allah ke Rasool! Aulaad par maan baap ka kitna haq hai? Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Woh tumaari Jannat aur dozakh hain. (Ibne Maaja: 3662)

✺ Nabi Akram ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala ki razaamandi baap ki razaamandi mein hai aur Allah Ta'ala ki naaraazgi baap ki naaraazgi mein hai. (Tirmizi: 1899)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp