Karaamat

     Allah Ta’ala apne nek bando ki izzat badhaane ke liye kabhi Kabhi un ke zariye aisi baatein Zaahir karaadeta hai jo aadat ke khilaaf aur mushkil hoti hain, jinhein aam log nahin kar sakte, jaise paani per chalna, hawa mein udna wagaira in baaton ko “karaamat” kehte hain. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/670)

     Karaamat ke baare mein chand zaroori aqaaid:

1) Nek bandon aur Auliya Allah Se karaamaton Ka zaahir hona haq hai. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdillah: 92/1)

2) Wali se karaamat ka zahoor Allah ke ahkaam ki mukammal paabandi aur Huzoor ﷺ ki kaamil ittiba aur pairwi ki barkat se hota hai. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/673)

3) Wali chaahe Allah ka kitna hi pyaara ho jaaye magar jab tak hosh-o-hawaas baaqi ho, woh shareeat ka paaband hai, Namaz, Roza aur koi Ibaadat us se maaf nahin ho jaati aur gunah ki baatein us ke liye durust nahin hoti. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdillah: 49/10)

4) Aisa shakhs jo shareeat ke khilaaf kaam kare jaise namaz na padhe ya daadhi mundaaye wagaira woh hargiz wali nahin ho sakta, chaahe us se kitni hi baatein aadat ke khilaaf zaahir hoti hon, chaahe woh hawa mein udne lage, paani par chalne lage aur tarah tarah ke ajeeb kaam kare, aadat ke khilaaf aisi baatein ya to jaadu hai ya shaitaani harkatein. (Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/673)

     Ham musalmaanon ka aqeeda hai ke Auliya Allah se karaamaton ka zaahir hona haq hai aur us par hamaara imaan hai.

Share on: Telegram | WhatsApp

Farishte

     Farishte Allah Ta’ala ki noorani makhlooq aur us ke muazzaz bande hain, woh gunaahon se paak hain, din raat Allah Ta’ala ki ibaadat mein mashgool rehte hain, jin kaamon par Allah Ta’ala ne un ko laga diya hai, un hi mein lage rehte hain, kabhi Allah Ta’ala ki nafarmaani nahin karte.

     Qur’aan mein hai: Farishte Allah ke kisi hukm mein us ki naafarmaani nahin karte aur wahi karte hain jis ka unhein hukm diya jaata hai. (Sura-e-Tahreem 66: 6)

     Farishte na mard hain na aurat, woh khaane peene ke mohtaaj nahin, un ki giza apne rab ki ibaadat wa bandagi karna aur us ke ahkaam ko baja laana hai, woh ibaadat se uktaate nahin hain, woh ibaadat se takabbur aur aar nahin karte, Allah Ta’ala ne un ko shaklein badalne ki taaqat de rakhi hai, kabhi woh insaan ki shakl mein haazir hote hain aur kabhi doosri shakl mein, aasmaanon aur zameenon ke saare intezaamaat Allah Ta’ala ne un ke supurd kiye hain. Farishte beshumaar hain, un ki tadaad Allah Ta’ala ke siwa koi nahin jaanta. Qur’aan mein hai: Aur tumhaare parwardigaar ke lashkaron (Farishton) ko us ke alaawa koi nahin jaanta. (Sura-e-Muddassir 74: 31)

Share on: Telegram | WhatsApp

Tauheed

     Allah ek hai, Woh apni zaat wa sifaat mein akela hai, Allah Ta’ala ki zaat wa sifaat mein koi us ke maanind nahin, woh badi qudrat waala hai, har cheez us ki qudrat se qaaim hai, woh jis ko nafa aur faaida pohnchaane ka iraada kare, tamaam insaan aur jinnaat mil kar bhi us ko nuqsaan nahin pohncha sakte aur Woh jis ko nuqsaan pohnchaane ka iraada kare, tamaam insaan aur jinnaat mil kar bhi us ko nafa nahin pohncha sakte, Qur’an mein hai: (Tarjama) Aur agar tumhein Allah koi takleef pohncha de to us ke siwa koi nahin jo use door kar de aur agar woh tumhein bhalaai pohnchaane ka iraada kar le to koi nahin hai jo us ke fazl ka rukh pher de. (Sura-e-Younus 10: 107)

     Allah Ta’ala ko kisi saamaan aur madadgaar ki zaroorat nahin, sab us ke mohtaaj hain, Woh kisi ka mohtaaj nahin, Wahi haajaton ko poora karta hai, Wahi duaaon ko sunta hai, Wahi gunaahon ko maaf karta hai, sirf Wahi Zaat bandagi aur Ibaadat ke laaiq hai aur sirf Wahi Zaat madad talab kiye jaane ke laaiq hai, Woh badi shaan waala aur azmat waala hai. Garz tauheed ka matlab yeh hai ke Allah Ta’ala jis tarah apni Zaat mein yakta hai usi tarah apni tamaam sifaat mein bhi yakta aur akela hai, us ki Zaat wa sifaat mein koi us ka shareek nahin hai, Qur’an mein hai: Koi cheez Allah Ta’ala ke maanind nahin hai. (Sura-e-Shoora 42: 11)

Share on: Telegram | WhatsApp

Zakaat

Sone chaandi aur saamaan-e-tijaarat wagaira par agar ek saal guzar jaaye to un ka ya un ki qeemat ka 40 waan hissa kisi gareeb musalmaan ko dene ka naam “Zakaat” hai.

Namaaz Roze ki tarah Zakaat bhi musalmaanon par farz hai, farq sirf yeh hai ke Namaaz, Rozah to har gareeb aur ameer musalmaan par farz hai aur Zakaat sirf maaldaaron par farz hai. Zakaat Islam ke 5 arkaan mein se teesra rukn hai. Is ka farz hona Qur'an Shareef ki saaf daleel se saabit hai. Jo shakhs is ka inkaar kare woh musalmaan hi nahin aur jo maaldaar hote huwe Zakaat ada na kare woh sakht gunehgaar hai.

Zakaat ko musalmaanon ki pehchaan bataaya gaya hai aur Zakaat na ada karna mushrikon aur munaafiqon ki sifat bataaya gaya hai, Zakaat ada karne waalon ko Jannat mein har tarah ki nematein mileingi aur Zakaat se ji churaane waalon ko aisa dard naak azaab diya jaayega ke jis ke sunne se hi raungte khade ho jaate hain. Qur'an Shareef mein hai: Jo log sona chaandi jama karte hain aur Allah ki raah mein kharch nahin karte, unhein ek dardnaak azaab ki khushkhabri suna do ke un ka jama kiya huwa sona chaandi us din Dozakh ki aag mein tapaaya jaayega, phir un badbakhton ki peshaaniyan, karwatein aur peethhein daagi jaayegi. Aur un se kaha jaayega, yeh wahi sona chaandi hai jo tum ne jama kiya tha, ab apne jama kiye huwe ka maza chakho. (Sura-e-Tauba 9: 34, 35)

Yeh saza to Qur'an Shareef mein hai. Hadees mein bhi bahot hi sakht sazaayein bayaan ki gai hain. Pyaare Rasullulah ﷺ ne farmaaya: “Jin logon ko Allah Ta’ala ne maal diya aur woh us ki Zakaat ada nahin karte, Qayaamat ke din un ka yeh maal ek bahot hi zahreele aur ganje saanp ki shakl mein saamne aayega uski aankhonke ke paas do siyah nukhte honge woh un ki gardan mein lipat jaayega aur un ke jabdon mein noch noch kar kahega. Main tumhaara jama kiya huwa maal hoon, main tumhaara khazaana hoon”. (Bukhari: 1403)

Tauba tauba, kaisi sakht saza hai ! Kaun musalmaan hoga jo is saza ko sun kar bhi Zakaat ada na kare, Zakaat ada karne mein hamaare liye Deen-o-Duniya ki bhalaai hai, Zakaat dene se hamaara maal paak hota hai, hamaare dil se maal ki muhabbat kam hoti hai, gareeb bhaaiyon ki madad hoti hai, hamdardi ka jazba paida hota hai, maal thheek thheek taqseem ho jaata hai aur ameer-o-gareeb us se faaida uthaate hain, yeh nahin ke kuchh log to kothhiyaan banwaayein aur kuchh log daane daane ko tarsein. Pyaare Sahaaba (Raziyallahu Anhum) ka to yeh haal tha ke woh zaroorat se ziyaada ek paise bhi apne paas nahin rakhte the.

Share on: Telegram | WhatsApp