Fuzool Kharchi na karna

     Kisi sahi masraf mein zaroorat se ziyaada kharch karna "Fuzool kharchi" kehlaata hai , misal ke taur par hamko apna kaam karne ke liye ek qalam kaafi hai, magar ham apni badaai zaahir karne ke liye teen chaar qalam khareed lein , to yeh israaf aur fuzool kharchi hai.

     Yeh ek buri sifat hai , fuzool kharchi karne se insaan ki taaqat aur daulat donon barbaad hote hain. Aur ek waqt aisa aata hai ke unhein bahot afsos karna padhta hai, baaz martaba fuzool kharchi insaan ki kaamyaabi mein rukaawat ban jaati hai. Jo log fuzool kharchi karte hain woh aam taur se khair aur neki ke kaamon se door hote chale jaate hain aur bure kaamon mein mubtela ho jaate hain ; kiyun ke fuzool kharchi insaan ko apni khwaahish ke mutaabiq amal karne par ubhaarti hai aur galat aur naamunaasib kaam bhi kara deti hai. Islaam ne fuzool kharchi se mana kiya hai. Qur'aane kareem mein fuzool kharchi karne waalon ko shaitaan ka bhaai kaha hai.

     Allah Ta'ala ne farmaaya : Quraabatdaar (Rishtedaar) ko us ka haq dete rehna aur mohtaaj aur musaafiron ko bhi dete rehna aur (maal ko) bemauqa mat udaana, (kiyun ke) beshak bemauqa (maal) udaane waale shaitaanon ke bhaai hain aur shaitaan apne Rab ka bada naashukra hai. (Sura-e-Isra: 26, 27)

     Aaj kal mukhtalif mauqon par fuzool kharchi ki jaati hai , gharon mein beshumaar saamaan laaye jaate hain; jab ke un se kam mein zarooratein poori ho sakti hain. Huzoor ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs fuzool kharchi karta hai to Allah Ta'ala use gareeb kar dete hain. (Musnade Bazzaar: 964)

     Shaadi biyaah mein khaas taur se bahot ziyaada kharch kiya jaata hai, haalaanke Islaam ne nikaah ko bahot aasaan banaaya hai. Huzoor ﷺ ne farmaaya ke sab se behtar shaadi woh hai jis mein sab se kam kharch ho. (Sho'bul Imaan: 6566)

     Bahre haal fuzool kharchi se har ek ko bachna chaahiye, isi mein aafiyat aur sukoon hai, duniya mein bhi aaraam wa raahat se zindagi guzarti hai aur aakhirat mein bhi. Insha Allah, chain wa sukoon naseeb hoga.

Share on: Telegram | WhatsApp