Hajj

✿ Haj ke dinon mein Makkatul Mukarrama jaakar khaas aamaal ada karne ko "Haj" kehte hain. Haj ke aamaal ada karne ke din 5 hain: 8th Zil Hijjah se 12th Zil Hijjah tak. Haj zindagi mein sirf ek martaba farz hai. (Shaami: 8/99, Kitaabul Haj)

Fazeelat : Huzoore Aqdas ﷺ ne farmaaya : Jis shakhs ne khaalis Allah Ta'ala ki raza ke waaste haj kiya aur woh is safar mein buraaiyon, nafsaani khwaahishaat aur ladaai jhagdon se door raha to woh gunaahon se is tarah paak-o-saaf hokar lautega jis tarah bachcha maan ke pet se paida hote waqt gunaahon se paak-o-saaf hota hai. (Sahih Bukhaari: 1521)


✿ Rasoole Akram ﷺ ne farmaaya: Jis shakhs ke paas khaane peene aur sawaari ka itna kharch ho jis se woh baitullah shareef jaasake phir woh haj na kare, to woh yahoodi hokar mare, ya nasraani hokar mare, Allah Ta'ala ko us ki koi parwaah nahin.(Tirmizi: 812)

✿ Ref: Deeniyat Course book

❥❥ Share on:

0 comments:

Post a Comment