Allah Ta'ala ki naafarmaani ka wabaal

✺ Allah Ta'ala ne tamaam insaanon ko jin baaton par chalne ka hukum diya hai, usi ke mutaabiq chalna zaroori hai, us ke khilaaf zindagi guzaarna aur Allah Ta'ala ke hukmon ko na maanna bade nuqsaan ka zariya hai, aise logon se Allah Ta'ala sakht naaraaz ho jaate hai, insaanon par jo tarah tarah ki museebatein aur pareshaaniyaan aati hain woh Allah Ta'ala ki naafarmaani aur gunaah hi ka nateeja hota hai.

✺ Huzoor ﷺ ne farmaaya: Bande ko jo halki ya sakht museebat pesh aati hai, woh us ke gunaah ka nateeja hoti hai, aur bahot saare gunaahon ko to Allah Ta'ala maaf farma dete hain. (Tirmizi: 3252)

✺ Baarish jo ke Allah ki badi nemat hai, yeh bhi hamaare gunaahon ki wajah se ruk jaati hai, jab gunaah aur Allah ki naafarmaaniyaan hone lagti hai, to Allah Ta'ala baarish ko rok lete hain,

✺ Huzoor ﷺ ne farmaaya: Jab haakim log zulm karne lagte hain, to baarish rok li jaati hai. (Hilyatul Auliya: 5/200)

✺ Pichhli qaumon par Allah Ta'ala ki naafarmaani ki wajah se azaab bhi aachuka hai, maslan Hazrat Nooh ('Alaihissalaam) ki qaum ne jab Allah Ta'ala ki naafarmaani ki, us ke saath shirk kiya, gunaahon mein mubtila ho gai, to Hazrat Nooh ('Alaihissalaam) ne un ko samjhaaya aur sirf ek Allah ki ibaadat karne aur gunaahon ko chhodne ka hukm diya aur Allah Ta'ala ki marzi ke mutaabiq zindagi guzaarne ki hidaayat di, magar chand logon ke siwa kisi ne bhi un ki baaton ko nahin maana aur Allah Ta'ala ki naafarmaani mein had se aage badhte gaye, to Allah Ta'ala ne us qaum par apna azaab naazil kiya aur ek toofaani sailaab ke zariye tamaam kaafiron ko halaak kar diya.

✺ Isi tarah Hazrat Loot ('Alaihissalaam) ki qaum ne jab Allah Ta'ala ki naafarmaani ki, tarah tarah ki buraaiyon aur gunaah ke kaamon mein mubtila ho gai, to Hazrat Loot ('Alaihissalaam) ne un ko Allah ki naafarmaani se bachne aur gunaahon se baaz rehne ki hidaayat di, magar unhon ne nahin maana aur naafarmaani aur sarkashi mein had se aage badh gaye, to Allah Ta'ala ne Hazrat Jibraeal ('Alaihissalaam) ko bheja, unhon ne poori basti ko uthhaaya aur aasmaan ke qareeb le gaye aur waheen se poori basti ko zameen par patakh diya aur oopar se pattharon ki baarish barsaai, is tarah is holnaak azaab ke zariye poori qaum halaak ho gai. Aaj kal zameen ki khudaai ke dauraan jo khandaraat nikalte hain aur puraane zamaane ke makaanaat daryaaft hote hain, bahot mumkin hai ke Allah Ta'ala ne apne azaab ke zariye un ko zameen mein dhansa diya ho aur woh khandaraat mein tabdeel ho gaye hon.

✺ Aaj ham sab ko un waaqiaat se ibrat haasil karni chaahiye aur gunaahon se bach kar zindagi guzaarni chaahiye, aur har waqt darte rehna chaahiye ke kaheen Allah Ta'ala ke azaab mein ham bhi giraftaar na ho jaayein, Rasulullah ﷺ ne is baat ki khabar di hai ke jab Allah Ta'ala ki naafarmaani aam hogi, to us waqt Allah Ta'ala ka azaab aayega.

✺ Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Jab Maal-e-Ganeemat ko zaati daulat banaaya jaane lage, amaanat ko ganeemat ka maal aur Zakaat ko taawaan samajh liya jaaye, ilm ko Deen ke alaawa kisi aur maqsad ke liye seekha jaane lage, log apni biwi ki farmaanbardaari kare aur apni maan ki naafarmaani karein aur doston ko apne qareeb karein aur baap ko door karein, masjidon mein aawaazein buland hon, qabeele ki sardaari un mein ka faasiq shakhs kare, qaum ka leader un mein ka kameena aadmi ho aur aadmi ka us ke shar ke dar se ikraam kiya jaaye aur gaane waaliyaan aur raag baaje aam ho jaayein aur sharaab pi jaane lage aur Ummat ke baad waale pehle logon par laanat karein, to us waqt surkh aandhiyon, zalzalon, zameen mein dhansaaye jaane, sooraton ke maskh kiye jaane aur patthar barasne ka intezaar karo aur (un ke alaawa isi tarah ki) doosri nishaaniyon ka (intezaar karo) jo lagaataar is tarah aayeingi jaise kisi haar ke dhaage ke toot jaane par us ke daane lagaataar tootne lagte hain. (Tirmizi: 2211)

❥❥ Share: Email | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment