Deen-e-Islam

Deen-e-Islam

Islam Deen-e-Fitrat hai, yeh Allah ka bheja huva Deen hai, yeh har waqt hamaari rahnumaai karta hai aur hamein seedhi sachchi raah dikhaata hai. Islam hamein sikhaata hai ke Allah ek hai, us ka koi shareek nahin, us ke maan baap nahin hai, us ki koi aulaad nahin hain, woh hamesha se hai aur hamesha rahega, woh beniyaaz hai. Aur Hazrat Muhammad Mustafa ﷺ Allah ke aakhri Nabi aur Rasool hain, Aap ﷺ ke baad ab koi nabi nahin aayega, Aap ki nubuwwat rehti duniya tak ke liye hai, agar Aap ke baad koi nubuwwat ka daawa karega to woh jhoota hoga. Aur Qur'an Majeed Allah Ta'ala ki aakhri kitaab hai jo logon ki hidaayat ke liye utaari gai hai.Ab qayaamat tak insaanon ka Deen "Islam" hai. Isi ko apnaane mein Deen wa duniya ki bhalaai hai, yahi Allah ka pasandeeda Deen hai, Islam ke alaawa koi aur Deen wa mazhab Allah ke yahaan maqbool nahin hai. Khud Allah Ta'ala ne irshaad farmaaya: Beshak (motabar) Deen to Allah ke nazdeek Islam hi hai. (Sura-e-Aale imraan: 19)

Doosri jagah farmaaya: Jo koi shakhs Islam ke siwa koi aur Deen ikhtiyaar karna chaahega, to us se woh Deen qubool nahin kiya jaayega aur aakhirat mein un logon mein shaamil hoga jo sakht nuqsaan uthhaane waalen hain. (Sura-e-Aale imran: 85)

Allah Ta'ala ne Deene Islam ko Aap ﷺ par mukammal kar diya hai, Allah Ta'ala ne apni kitaab mein Deen ke mukammal ho jaane ki khush khabri di hai. Ab is mein kisi kami ya ziyaadati ki gunjaaish nahin hai. Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aaj main ne tumhaare liye tumhaara Deen mukammal kar diya, tum par apni nemat mukammal kar di aur tumhaare liye Islam ko Deen ke taur par (hamesha ke liye) pasand kar liya. (Sura-e-Maaida: 3)

Woh hamein zindagi guzaarne ka achchha tareeqa sikhaata hai, har mod par hamaari behtar rehnumaai karta hai, Islam mein tamaam khoobiyaan aur bhalaaiyaan maujood hain, har achchhi baat ki taaleem deta hai aur har buri baat se mana karta hai. Huzoor ﷺ ne to yahaan tak farmaaya ke main is liye bheja gaya hoon ke akhlaaqi khoobiyon ko kamaal tak pahonchaadoon. (Musnade Ahmad: 8952)

Hindustaan ka ek baadshaah guzra hai, uska naam Akbar tha. us ke dimaag me yeh galat khayaal saraayat kar gaya tha ke (na'oozubillah) Huzoor ﷺ ke Deen ki kul muddat ek hazaar saal thi jo poori hogai, isi liye woh dil khol kar Islami ahkaam ko baatil karne mein mashgool ho gaya tha aur is ke liye us ne ek khud saakhta mazhab "Deen-e-Ilaahi" ki bunyaad rakhi thi, jis mein dher saari kharaabiyaan theen, us deen mein dakhil hone waalon se jo kalima padhwaaya jaata tha, us mein "Laa ilaaha illallahu" ke saath "Akbaru khaleefatullah" bhi shaamil kiya jaata tha, shaahi mahal mein naaqoos bajaaye jaate aur aag raoshan ki jaati thi, magar Namaaz, Rozah, Hajj, aur Zakaat se laaparwaahi barti jati thi, balke deewaan khaane mein kisi ki majaal na thi elaaniya namaaz padhe, Maqaam-e-Nubuwwat ki tauheen ki gai aur Meraaj wagaira ka mazaaq udaaya gaya, baadshaah ko Sajda-e-Ta'azeem kiya jaata, Qaanoon-e-Nikaah mein tabdeeli ki gai, tadfeen ke tareeqe badal daale, mulaaqaat ke waqt salaam karne ki jo Islami taaleem thi, us ko khatm kar ke naya tareeqa raaij kiya, baaz cheezein jo halaal theen, un ko haram keh diya gaya aur baaz cheezein jo haraam theen, un ko halaal keh diya, suwwar ko paak samjha jaane laga, ulama, mujtahideen aur Islami sha'aair ka mazaaq udaaya jaane laga, hatta ke sooraj wagaira ki parastish bhi ki jaane lagi.

Akbar ki is bad deeni aur Islam se doori mein us waqt ke darbaari ulama ki galat sohbat aur khushaamad ko bada dakhal tha, un mein Mulla Mubaarak ke do ladke Abul Fazl aur Faizi sar-e-fehrist the. Mash'hoor buzurg Shaikh Ahmad Sarhindi Mujaddid Alfe saani (Rahmatullah 'alaih) usi zamaane ke the, unhon ne badi hikmat ke saath is naye mazhab "Deen-e-Ilaahi" ka muqaabla kiya aur is baare mein bade kaarnaame anjaam diye.


❥❥ Share on: Email | Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment