Be-hayaai waale aamaal se bacho

Be-hayaai waale aamaal se bacho

Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aye Aadam ke beto aur betiyo! Shaitaan ko aisa mauqa hargiz na dena ke woh tumhein is tarah fitne mein daal de jaise us ne tumhaare maan baap ko Jannat se nikaala, jab ke un ka libaas un ke jism se utarwa liya tha, taake un ke ek doosre ki sharm ki jagah dikha de. Woh aur us ka jattha tumhein wahaan se dekhta hai jahaan se tum unhein nahin dekh sakte. Un shaitaanon ko ham ne unhi ka dost bana diya hai jo imaan nahin laate aur jab yeh (kaafir) log koi be-hayaai ka kaam karte hain to kehte hain ke ham ne apne baap daadaaon ko isi tareeqe par paaya hai, aur Allah ne hamein aisa hi hukm diya hai. Tum (un se) kaho ke: Allah be-hayaai ka hukm nahin diya karta. Kya tum woh baatein Allah ke naam lagaate ho jin ka tumhein zara ilm nahin? (Sura-e-Aaraaf: 27-28)

Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Haya Imaan se hai aur Imaan Jannat se hai, buri baat bolne se dil mein sakhti paida hoti hai aur dil ka sakht hona Jahannam mein jaane ka sabab hai. (Tirmizi: 2009)

Hadees: Hazrat Anas Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Fahash goyi har cheez ko aibdaar bana deti hai aur sharm wa haya har cheez ko khoobsoorat bana deti hai. (Ibne Maajah: 4185)

Hadees: Huzur ﷺ ne farmaaya: Jab Allah Ta'ala kisi bande ko barbaad karna chaahta hai to us se sharm wa haya nikal jaati hai aur Khuda ka gussa us par musallat ho jaata hai aur Khuda ke nazdeek bahot hi maayoob aur bura samjh jaata hai. (Ibne Maajah: 4054)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment