Khudkushi Mat Karo

Khudkushi Mat Karo

✺ Qur'an mein Allah farmaata hai (Tarjama): Aur apne aap ko qatl na karo; yaqeen jaano! Allah Ta'ala tum par bahot maherbaan hai aur jo shakhs ziyaadati aur zulm ke taur par aisa karega, to ham us ko aag (Jahannam) mein daakhil karenge. (Sura-e-Nisa: 29-30)

✺ Yeh zindagi Allah Ta'ala ki amaanat hai, is mein kisi tarah ka tasarruf kar ke is ko khatm kar dena sab se badi khayaanat hai aur yeh hamaare liye jaaiz nahin hai. Har ek ki zindagi mein aaraam bhi hai aur museebat bhi, khushi bhi hai aur gam bhi, Islaam har museebat aur gam par sabr karna sikhaata hai aur is par bepanaah ajr-o-sawaab se nawaazta hai; is liye kisi museebat aur gam ki wajah se khudkushi kar lena haraam hai aur aakhirat mein is ki bahot sakht saza hai. Sahi bukhaari ki ek riwaayat hai:

✺ Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne pahaad se gir kar khudkushi ki woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein (pahaad se) girta rahega aur jis ne zahar pi kar khudkushi ki, us ka zahar us ke haath mein hoga aur woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein us ko peeta rahega aur jis ne kisi lohe ke zariye khudkushi ki, to us ke haath mein loha hoga, jise woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein apne pet mein ghonpta rahega. (Bukhaari: 5778)

✺ Aam taur par log kisi pareshaani mein mubtala ho kar khudkushi kar lete hain aur yeh sochte hain ke jab mar jaayenge aur is duniya se chale jaayenge, to is museebat aur pareshaani se najaat mil jaayegi; lekin Aap ﷺ ki hadeese paak bata rahi hai ke is duniya se jaane ke baad aise logon ko aakhirat mein is qadr bhayaanak qism ke azaab ka saamna karna padega. Jab ham is duniya ki chand roza zindagi ki pareshaani ko bardaasht nahin kar sakte, to aakhkirat ki itni sakht saza ko kaise jhel paayenge.

Share on: 

0 comments:

Post a Comment