Ghussa na kiya karo

Ghussa na kiya karo

✺ Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur apne Rabb ki bakhshish ki taraf dau'do aur neez us Jannat ki taraf jis ki chaurdaayi aisi hai jaise aasmanon ka aur zameenon ka phailao jo Allah Ta'ala se darne waalon keliye tayyar ki gayi hai yani (un aala darje ke musalmanon keliye hain) jo khushhaali aur tangdasti donon haalton mein naik kaamon mein kharch karte rehte hain aur ghusse ko zabt karne waale hain aur logon ko mu'af karne waale hain aur Allah Ta'ala aise naik logon ko pasand karte hain. (Aal-'Imran 3: 133-134)

✺ Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke ek shakhs ne Nabi Kareem ? se arz kiya ke mujhe koi waseeyat farma dijiye Aap ? ne irshaad farmaaya: Ghussa na kiya karo us shakhs ne apni (wohi) darkhuwast kayi baar dohrayi Aap ? ne har martaba yahi irshaad farmaaya: Ghussa na kiya karo. (Bukhari: 6116)
 
✺ Hadees: Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Taaqatwar wo nahi jo apne muqabil ko pachhaadh de balke taaqatwar wo hai jo ghusse ki haalat mein apne aap par qaabu paale. (Bukhari: 6114)

✺ Hadees: Hazrat Abu Zarr Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Jab tum mein se kisi ko ghussa aaye aur wo khada ho to usko chahiye ke baith jaye agar baithne se ghussa chala jaye (to theek hai) warna usko chahiye ke lait jaye. (Abu Dawud: 4782)

✺ Faida: Hadees shareef ka matlab ye hai ke jis haalat ki tabdeeli se zehan ko sukoon mile us haalat ko ikhtiyaar karna chahiye taake ghussa ka nuqsaan kum se kum ho. baithne ki haalat mein khade hone se kam aur laitne mein baithne se kam nuqsaan ka imkaan hai. (Mazahir-e-Haq)

✺ Hadees: Hazrat Atiyya Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Ghussa shaitan (ke asar se) hota hai. Shaitan ki paidaish aag se hui hai aur aag paani se bujhayi jaati hai lehaza jab tum mein se kisi ko ghussa aaye to usko chahiye ke wazu karle. (Abu Dawud: 4784)

✺ Hadees: Hazrat Mu'az Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ? ne irshaad farmaaya: Jo shakhs ghusse ko pee jaye jabke us mein ghusse ke taqaaza ko pura karne ki taaqat bhi ho (lekin iske baawajood jis par ghussa hai usko koi saza na de) Allah Ta'ala Qayaamat ke din usko saari makhluq ke saamne bulayeingey aur usko ikhtiyaar deingey ki Jannat ki huroon mein se jis ko chaahe apne liye pasand karle. (Abu Dawud: 4777)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Qurbaani

Qurbaani


Eid-ul-Azha ki Qurbaani Hazrat Ibrahim ('Alaihissalaam) ki us qurbaani ki yaadgaar hai jo unhon ne apne pyaare bete Hazrat Ismail ('Alaihissalaam) ko qurbaan kar ke qaaim ki hai.

✺ Eid-ul-Azha ke din qurbaani ki badi fazeelat hai.

Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Eid-ul-Azha ke din Aadam ke bete (insaan) ka koi amal Allah Ta'ala ko qurbaani se ziyaada mehboob nahin aur qurbaani ka jaanwar qayaamat ke din apni seengon, baalon aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zameen par girne se pehle Allah Ta'ala ki raza aur maqbooliyat ke muqaam par pahonch jaata hai, pas aye Allah ke bando! Dil ki poori khushi se qurbaani kiya karo. (Ibne Maaja: 3126)

✺ Agar koi shakhs istita'at ke baawajood qurbaani na kare to aisa shakhs gunaahgaar hai.

Nabi ﷺ ka irshaad hai: Jo shakhs qurbaani ki istita'at rakhta ho us ke baawajood qurbaani na kare, aisa shakhs hamaari Eidgaah ke qareeb hargiz na aaye. (Ibne Maaja: 3123)

❥❥ Share this on:

Kisi ki jaaidaad daba lena

Kisi ki jaaidaad daba lena

✺ Hazrat Saeed bin Zaid (Raziyallahu 'Anhu) kehte hain ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne baalisht bhar zameen ka koi hissa zulm ke taur par daba liya, to qayaamat ke din us ke gale mein 7 zameenon ka tauq daala jaayega. (Bukhari: 3198)


✺ Hazarat Abdullah Bin Umar (Radiyallahu Anhu) riwayat karte hain ke Nabi kareem (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaya: Jis shakhs ne thodi si zameen bhi nahaq leli qayamat ke din wo iski wajha se saat zameenon tak dhansa diya jayega. (Bukhari: 2454)

Bahot se log apni taaqat aur chaalaaki ke bal boote par doosron ka maal hadap kar lete hain aur is ko apna bahot bada kamaal samajhte hain, khaas taur par ladkiyon ko maale wiraasat mein se hissa nahin dete, yeh sab cheezein is hadees ke hukm mein daakhil hain aur sab ko yeh azaab milne waala hai.

❥❥ Share on: