Aakhirat

     “Yaum-e-Aakhirat” ke maana baad mein aane waale din ke hain, duniya ki zindagi ke baad Aakhirat ki zindagi shuru hogi, jo kabhi khatm na hogi; us zindagi ko islami Shareeat mein “Aakhirat” kehte hain. (Tafseer Ibn-e-kaseer: 1/59)

     Duniya imtehaan ki jagah hai, duniya mein banda jo bhi achche ya bure aamaal karta hai, un ka Aakhirat mein use poora poora badla diya jaayega. Qur’aan mein hain: Chunaanche jis ne zarra baraabar koi achchaai ki hogi, woh use dekhega aur jis ne zarra baraabar koi buraai ki hogi, woh use dekhega (Surah-e-Zilzaal 99: 7,8)

     Aakhirat par Imaan laana Imaan ka ek ahem juzw hai, Aakhirat par Imaan laane ka matlab ye hai ke is duniya ki zindagi ke baad ek aur zindagi hai, wahaan insaan ko is duniya mein kiye huwe bure aamaal ki saza aur bhale aamaal ki jaza milegi. Malakul Maut ka rooh qabz karna aur marne ka baad murde se Munkar Nakeer ke sawaal wa jawaab barhaq hai. Qayaamat ki alaamaton ka ek ek kar ke paaya jaana aur us ke baad Qayaamat ka aana yaqeeni hai. Tamaam murdon ka dobaara zinda ho kar Maidaan-e-Hashr mein jama hona, hisaab wa kitaab hona, meezaan ka qaaim hona aur aamaal naamon ka wazan kiya jaana bilkul sach hai. Pul Siraat se guzarna, us ka baal se ziyaada baareek aur talwaar se ziyaada tez hona, Imaan waalon ka us par tezi se guzar jaana aur kaafiron ka Jahannam mein gir jaana haqeeqat hai. Jannat aur us mein tarah tarah ki nematein aur Dozakh aur us mein hone waali takleefein barhaq hain. (Sharahul Aqeedatit Tahawiyya Li Saaleh bin Abdul Azeez: 1/429; Attauheed Linnaashiati wal mubtadieein Li Abdil Azeez bin Muhammed: 1/68)

     Aakhirat ke baare mein Qur’an wa Hadees mein jin jin baaton ko zikr kiya gaya hai un tamaam par Imaan laana aur un ke muta’alliq bataai hui baaton ko sachcha jaanna zaroori hai.

Share on: Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment