Insaano ke Huqooq
Islam ki rehmat-o-shafqat ka daairah kisi khaas tabqe aur kisi khaas qaum wa millat tak mehdood nahin hai balke poore aalame insaaniyat tak wasee hai.
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Saari makhlooq Allah Ta’ala ki ayaal (aur ghar ke afraad ki haisiyat rakhti) hai aur Allah Ta’ala ko sab se ziyaada mehboob woh aadmi hai, jo us ki ayaal ke saath achchha bartaao aur ehsaan ka muaamla kare. (Sho’abul Iman: 8448)
Allah Ta’ala ka Irshaad hai: Haqeeqat yeh hai ke ham ne aadam ki aulaad (insaan) ko izzat bakhshi hai, aur unhein khushki aur samander donon mein sawaariyaan muhayya ki hain aur un ko paakeezah cheez ka rizq diya hai aur un ko apni bahot si makhlooqaat par fazeelat ata ki hai. (Qur’an Sura-e-Bani Israail: 70)
Allah Ta’ala ka irshaad hai: Jo koi kisi ko qatl kare, jab ke yeh qatl na kisi aur jaan ka badla lene ke liye ho aur na kisi ke zameen mein fasaad phailaane ki wajah se ho, to yeh aisa hai jaise us ne tamaam insaanon ko qatl kar diya, aur jo shakhs kisi ki jaan bachaale to yeh aisa hai jaise us ne tamaam insaanon ki jaan bachaali. (Surah-e-Maidah: 32)
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Tum log zameen waalon par rahem karo, aasmaan waala rab tum par rahem karega. (Abu Dawood: 4941)
Allah Ta’ala ka Irshaad hai: Aur tum logon se achchhi baat kaho. (Surah-e-Baqarah: 84)
Lihaaza hamein insaanon ke huqooq ki adaaigi ki koshish karni chaahiye, aasaani ke liye insaanon ke chand huqooq
Humein Insaano ke huqooq number wise zail mein zikr kiye jaarahe hain.
1) Har insaan se khush akhlaaqi aur meethhi zabaan mein baat cheet karna, sakht kalaami aur gaali galoch se bachna.
2) Bhali baaton ka hukm karna aur buri baaton se rokna.
3) Har insaan ke saath adl-o-insaaf karna.
4) Har insaan ke saath rahem-o-karam ka muaamla karna, zulm-o-ziyaadati na karna.
5) Galti ko maaf karna.
6) Insaani zarooriyaat khaane peene pahenne aur rehne ki cheezon aur ilaaj muaalijah ke liye Akhraajaat wagairah mein madad karna, lenden mein narmi ka bartaao karna (Mazhabi cheezon me madad ki ijaazat nahin hai).
7) Islam ki khoobiyaan bata kar Islam ki daawat dena aur hidayat ki dua karna.
8) Sab Insaan ek maan baap Aadam wa hawwa (‘alaihissalam) ki aulaad hain. Is liye kisi biraadari aur qaum ko haqeer na samajhna.
9) Biraadari aur ilaaqe ki bina par kisi ki tafreeq na karna.
0 comments:
Post a Comment