Durood Shareef padhna
Durood Shareef dar asal ek dua
hai, jo bande Rasool ﷺ ke haq mein Allah Ta'ala se karte hain. Yeh
haqeeqat hai ke Allah Ta'ala ke baad ham par sab se ziyaada ehsaan
Rasoolullah ﷺ ka hai. Aap ﷺ ne sakht museebatein bardaasht kar ke
hamaari taraf seedhe raaste ki rehnumaai ki aur Allah Ta'ala ki hidaayat
bandon tak pohnchaai, agar Aap ﷺ is tarah takleefein na uthhaate, to
hidaayat ki roshni ham logon tak nahin pahonch sakti aur ham ek Allah ki
ibaadat karne ke bajaaye kufr-o-shirk aur gumraahi mein bhatakte rehte.
Algarz
hamein Imaan ki jo sab se badi daulat aur hidaayat ki sab se badi nemat
haasil hui hai, woh Huzoor ﷺ ke tufail hi mein mili hai, is liye Allah
Ta'ala ke baad Aap ﷺ hamaare sab se bade mohsin hain. Hamein is ehsaan
ka shukriya ada karna chaahiye aur Aap ﷺ ke haq mein duaaein karni
chaahiye ke Allah Ta'ala Aap ﷺ ko apni khaas rahmaton aur barkaton se
nawaaze aur Aap ﷺ ke darje ziyaada se ziyaada buland kare aur isi qism
ki dua ko “Durood” kehte hain.
Durood Shareef padhne ke
bahot fazaail hain. Ek hadees mein Huzoor ﷺ ne farmaaya: Jo Shakhs mujh
par ek dafa Durood padhega, Allah Ta'ala us par 10 rehmatein naazil
farmaayeinge aur us ke 10 gunaah maaf kareinge aur us ke 10 darje buland
kareinge. (Nasai: 1297, Anas bin Malik رضي الله عنه)
Ek
aur Hadees mein Huzoor ﷺ ka yeh irshaad naql kiya gaya hai ke Allah
Ta'ala ke bahot se farishte hain, jin ka khaas kaam yeh hai ke woh
zameen mein phirte rehte hain aur mera jo ummati mujh par
Durood-o-salaam bhejta hai, wo mujh tak pohnchaate rehte hain. (Sunane
Nasai:1282 Abdullah رضي الله عنه)
0 comments:
Post a Comment