Jahannam

Jahannam

Jahannam nihaayat hi takleef ki jagah hai, woh kaafiron aur mushrikon ke liye tayyaar ki gai hai, us mein har tarah ke azaab honge, aag ke makaan aur bistar honge, aag ki hathkadiyaan aur zanjeerien hongi, bade bade saanp aur bichchhu honge, jo jahannamiyon ko daste raheinge, khaane ke liye zaqqoom (Jahannam ka ek kaantedaar darakht) hoga, peene ke liye peep aur khaulta hua paani hoga, jo aanto ko tukde tukde kardega, Jahannam ki dahekti hui aag hogi, jo un ko jalaati rahegi, aag se itne bade bade shole utheinge, jo aalishaan mahal ke baraabar honge, jab bhi jahannamiyon ke badan ki khaal jal kar raakh hojaayegi, to us ki jagah doosri khaal badal di jaayegi, har ghadi Allah Ta'ala ka azaab un ke liye sakht hota jaayega, azaab ka ek lamha umr bhar ke aish wa raahat ko bhulaadega, na un ka azaab halka hoga aur na un ko koi mohlat di jaayegi, woh maut maangenge to un ko maut naa aayegi, hamesha ke liye woh dozakh mein rahenge.

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur jin logon ne kufr ki rawish apnaali hai, un ke liye dozakh ki aag hai, na to un ka kaam tamaam kiya jaayega ke woh mar hi jaaein aur na un se dozakh ka azaab halka kiya jayega. Har naashukre kaafir ko ham aisi hi saza dete hain. (Surah-e-Faatir 35: 36)

Jahannam mein sab se kam darje ka azaab yeh hoga ke jahannami ko aag ki jootiyaan ya aag ke 2 tasme pehnaaye jaayenge, jis ki wajah se us ka dimaag haandi ki tarah ublega, woh samjhega ke sab se ziyaada azaab usi ko ho raha hai, jis jahannami ke dil mein zarra baraabar iman hoga woh apne gunaah ke baqadr azaab chakh kar ya Huzoor (ﷺ) ki shafa'at se Jahannam se chhutkaara paalega.
(Bukhari 6562 Nomaan Bin Basheer Raz & Anas Bin Maalik Raz 7510)

Jahannam mein bhi alag alag darje hain, un mein mukhtalif qism ka azaab hoga, mujrim log apne apne gunaahon ke mawaafiq un mein daakhil kiye jaayeinge, jo bhi Jahannam mein daakhil hoga woh mahaz Allah Ta'ala ke Adl-o-Insaaf se daakil hoga kisi par zarra baraabar zulm na kiya jaayega.

Ham musalmaanon ka aqeeda hai ke Jahannam abhi maujood hai aur hamesha ke liye rahegi, us ke mutaalliq Qur'an -o-Hadees mein bataai hui tamaam baatein sachchi hain.

Share on: Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment