TV Ke Nuqsaanat

TV Ke Nuqsaanat

Islaam bahot paakeezah aur achchha mazhab hai, yeh hamein tamaam buraaiyon se rokta hai aur har us cheez ke karne se mana karta hai, jis ka karna gunaah aur jis mein hamaara nuqsaan hai. "TV" ka dekhna bhi bahot bada gunaah hai. Is mein duniya ka bhi nuqsaan hai aur aakhirat ka bhi, is ko dekhne se nigaah kamzor hoti hai, akhlaaq wa aadaat kharaab hojaate hain, ghar se barkat khatm hojaati hai, rehmat ke farishte chale jaate hain aur shayaateen ghar mein aajaate hain, TV Allah Ta'ala ki yaad se gaafil kar deti hai aur insaan aakhirat ko bhool jaata hai aur jo cheez Allah ki yaad se gaafil karne waali ho aur aakhirat ko bhula dene waali ho, us se har insaan ko bachna chaahiye.

Allah Ta'ala Qur'an mein farmaata hai (Tarjama): Aur baaz aadmi aise hain, jo in baaton ki khareedaari karte hain, jo gaafil karne waali hain, taake Allah ke raaste se besoche samjhe hataadein aur us ki hansi udaaein, aise logon ke liye zillat wa ruswaai ka azaab hai. (Sura-e-Luqmaan 31: 6)

TV dekhne mein waqt bhi barbaad hota hai, haalaanke waqt Allah Ta'ala ki bahot badi aur qeemti nemat hai, kabhi bhi is ko barbaad nahin hone dena chaahiye. Huzoor (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ka irshaad hai: Jannat waalon ko duniya ki kisi bhi cheez ka afsos nahin hoga, sirf us lamhe par afsos hoga jo duniya mein Allah ke zikr ke bagair guzar gaya ho. (Mo'jame Kabeer: 182)

Is liye hamein waqt ki khoob qadr karni chaahiye aur sab se badi baat yeh hai ke TV dekhne se Allah Ta'ala aur hamaare Nabi (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) bahot naaraaz hote hain. Lihaaza ham ko TV nahin dekhna chaahiye aur apne doston aur doosre musalmaanon ko bhi is se mana karna chaahiye. Agar ham aisa kareinge, to Allah Ta'ala aur hamaare Nabi (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) bahot khush honge.



❥❥ Share on:

0 comments:

Post a Comment