Zakaat

Sone chaandi aur saamaan-e-tijaarat wagaira par agar ek saal guzar jaaye to un ka ya un ki qeemat ka 40 waan hissa kisi gareeb musalmaan ko dene ka naam “Zakaat” hai.

Namaaz Roze ki tarah Zakaat bhi musalmaanon par farz hai, farq sirf yeh hai ke Namaaz, Rozah to har gareeb aur ameer musalmaan par farz hai aur Zakaat sirf maaldaaron par farz hai. Zakaat Islam ke 5 arkaan mein se teesra rukn hai. Is ka farz hona Qur'an Shareef ki saaf daleel se saabit hai. Jo shakhs is ka inkaar kare woh musalmaan hi nahin aur jo maaldaar hote huwe Zakaat ada na kare woh sakht gunehgaar hai.

Zakaat ko musalmaanon ki pehchaan bataaya gaya hai aur Zakaat na ada karna mushrikon aur munaafiqon ki sifat bataaya gaya hai, Zakaat ada karne waalon ko Jannat mein har tarah ki nematein mileingi aur Zakaat se ji churaane waalon ko aisa dard naak azaab diya jaayega ke jis ke sunne se hi raungte khade ho jaate hain. Qur'an Shareef mein hai: Jo log sona chaandi jama karte hain aur Allah ki raah mein kharch nahin karte, unhein ek dardnaak azaab ki khushkhabri suna do ke un ka jama kiya huwa sona chaandi us din Dozakh ki aag mein tapaaya jaayega, phir un badbakhton ki peshaaniyan, karwatein aur peethhein daagi jaayegi. Aur un se kaha jaayega, yeh wahi sona chaandi hai jo tum ne jama kiya tha, ab apne jama kiye huwe ka maza chakho. (Sura-e-Tauba 9: 34, 35)

Yeh saza to Qur'an Shareef mein hai. Hadees mein bhi bahot hi sakht sazaayein bayaan ki gai hain. Pyaare Rasullulah ﷺ ne farmaaya: “Jin logon ko Allah Ta’ala ne maal diya aur woh us ki Zakaat ada nahin karte, Qayaamat ke din un ka yeh maal ek bahot hi zahreele aur ganje saanp ki shakl mein saamne aayega uski aankhonke ke paas do siyah nukhte honge woh un ki gardan mein lipat jaayega aur un ke jabdon mein noch noch kar kahega. Main tumhaara jama kiya huwa maal hoon, main tumhaara khazaana hoon”. (Bukhari: 1403)

Tauba tauba, kaisi sakht saza hai ! Kaun musalmaan hoga jo is saza ko sun kar bhi Zakaat ada na kare, Zakaat ada karne mein hamaare liye Deen-o-Duniya ki bhalaai hai, Zakaat dene se hamaara maal paak hota hai, hamaare dil se maal ki muhabbat kam hoti hai, gareeb bhaaiyon ki madad hoti hai, hamdardi ka jazba paida hota hai, maal thheek thheek taqseem ho jaata hai aur ameer-o-gareeb us se faaida uthaate hain, yeh nahin ke kuchh log to kothhiyaan banwaayein aur kuchh log daane daane ko tarsein. Pyaare Sahaaba (Raziyallahu Anhum) ka to yeh haal tha ke woh zaroorat se ziyaada ek paise bhi apne paas nahin rakhte the.

Share on: Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment