Allah ek hai, Woh apni zaat wa sifaat mein akela hai, Allah
Ta’ala ki zaat wa sifaat mein koi us ke maanind nahin, woh badi qudrat
waala hai, har cheez us ki qudrat se qaaim hai, woh jis ko nafa aur
faaida pohnchaane ka iraada kare, tamaam insaan aur jinnaat mil kar bhi
us ko nuqsaan nahin pohncha sakte aur Woh jis ko nuqsaan pohnchaane ka
iraada kare, tamaam insaan aur jinnaat mil kar bhi us ko nafa nahin
pohncha sakte, Qur’an mein hai: (Tarjama) Aur agar tumhein Allah koi
takleef pohncha de to us ke siwa koi nahin jo use door kar de aur agar
woh tumhein bhalaai pohnchaane ka iraada kar le to koi nahin hai jo us
ke fazl ka rukh pher de. (Sura-e-Younus 10: 107)
Allah Ta’ala ko kisi saamaan aur madadgaar ki zaroorat nahin, sab us ke
mohtaaj hain, Woh kisi ka mohtaaj nahin, Wahi haajaton ko poora karta
hai, Wahi duaaon ko sunta hai, Wahi gunaahon ko maaf karta hai, sirf
Wahi Zaat bandagi aur Ibaadat ke laaiq hai aur sirf Wahi Zaat madad
talab kiye jaane ke laaiq hai, Woh badi shaan waala aur azmat waala hai.
Garz tauheed ka matlab yeh hai ke Allah Ta’ala jis tarah apni Zaat mein
yakta hai usi tarah apni tamaam sifaat mein bhi yakta aur akela hai, us
ki Zaat wa sifaat mein koi us ka shareek nahin hai, Qur’an mein hai:
Koi cheez Allah Ta’ala ke maanind nahin hai. (Sura-e-Shoora 42: 11)
0 comments:
Post a Comment