Ek musalmaan bhai ka jab doosre musalmaan bhai se mulaaqaat hoti hai, to woh salaam karte hain. Mulaaqaat ke waqt salaam karna, Islam ka bahot hi achchha tareeqa hai, is se behtar doosra koi tareeqa nahin hai. Is ki bahot saari fazeelatein aayi hain, salaam karne se aapsi muhabbat badhti hai aur doosron se badgumaani door hoti hai, khaas taur se salaam me pahel karna bahot badi neki hai. Huzoor ﷺ ne farmaaya: Logon mein Allah Ta'ala se sab se ziyaada qareeb woh shakhs hai jo logon ko salam karne mein pahel kare. (Abu Dawood: 5197, Abu Umaama رضي الله عنه) Baaz log sirf apne jaanne pehchaanne waalon hi kon salam karte hain, yeh sahi nahin hai, Islam ki taleem ye hai ke har musalmaan bhai ko salaim kiya jaaye, khwaah un ko pehle se pehchaante ho ya na pehchaante ho. Jab kisi tarah maaloom ho jaaye ke woh musalmaan hai to us ko salaam karna chaahiye, is mein bahot sawaab hai. Huzoor ﷺ se ek shakhs ne daryaaft kiya ke ya Rasulullah ﷺ kaon sa amal behter hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Khaana khilaana aur salaam karna, chaahe tum use pehchaante hoya na pehchaante ho. (Bukhari: 12, Abdullah bin Amr رضي الله عنه) Hamein bhi har ek ko salaam karna chaahiye, khwaah woh hamaare dost hon, ya rishtedaar ya koi doosre musalmaan bhai. |
0 comments:
Post a Comment